1, hadees - kisi musalman ka dil khush karna INSAN & JINNAT ki eibadat se behtar hai.
(mirqatul mafateeh 8/748)
2, hadees - jisne kisi musalman ke raaste se koi takleef dene wala cheez hatai (jaise patthar, keechad, kachra, badbu paida karne wali chize etc)
To ALLAH KAREEM uske naama-E-amaal me ek neki likh dega.
Or allah us neki ke badle use jannat me daakhil farma dega.
(al-badoorul saafirah fee-ahwaalil aakhirah safa no,617)
3, hadees - NABI e KAREEM ne farmaya.....
Us zaat ki qasam jiske qabze qudrat me meri jaan h(yani allah ki qasam)
ALLAH TA'ALA sirf raheem(dusronpar rahem karne wale insan) ko hi apni rehmat se nawazega,
Sahab ikraam ne puchha ya rasool allah kya hum sab raheem hai???
Huzoor ne jawab me irshad farmaya.......
Raheem wo nahi jo apni ap or apne ghar walo par rahem kare......
Balke raheem wo hai jo tamam musalmano par rahem kare.
(shobul eiman jild no,7 hadees no,11059)
4, hadees - jisne achhi tarha WAZU kiya or fir sawab ki ummid ke sath kisi BEEMAR MUSALMAN ki iyadat ki.......
Allah use jahnnam se 70 saal ki musafat tak door farma dega.
(abu daud shareef jild no,3 hadees no,3097)
5, hadees - pyare NABI ne farmaya........
Tumhara apne BHAI (khoon ke rishte ka bhai ho ya eiman ke rishte se tumara musalman bhai use) dekh kar MUSKURANA SADQAH hai.
(jaame tirmizi jild,3 hadees,1963)
6, Hadees sabse acha musalman - humare nabi ne farmaya........
Sabse afzal/acha/behtar musalman wo hai jiske ZABAN or HAATH se dusre musalman mehfooz rahe.
(bukhari sharif jild no,1 kitabul eiman)
7, hadees - ek musalman ka KHOON/murder karna ya uska maal hadap lena ya uski kisi bhi taraha be-izzati karna dusre musalman ke liye HARAAM GUNAH hai.
(muslim sharif hadees no,2564)
8, hadees - pyare NABI ne tamam musalmano ko mukhatab karte huwe irshad farmaya.....
Aapas me nafrat na karo,
Ek dusre se hasad na karo(yani dil me ek dusre ke liye burai mat rakho)
Ek dusre se rushte mat todo.
Ek dusre se peeth na phero(yani ek dusre ko dekh chehre mat pher lo balke unse mahobbat se mel milap karo)
Fir farmaya........... AEALLAH KE BANDO
Aapas me bhai bhai ban jao,
Kisi musalman ke liye 3 raat se zyada apne bhai ko chhode rakhna halaal nahi(yani 3 din se zyada kisi musalman ke liye dusre musalman se baat chit band rakhna jaiz nahi)
>muslims shareef hadees no,2558<
9, Hadees - NABI kareem sallal laahu alaihi wa sallam ne irshad farmaya.....
Jo musalman kisi dusre musalman bhai ki kisi zarurat ko pura karne ke liye gaya ALLAH paak uske HAR QADAM ke badle uske 70 gunah muaf farma deta hai or uske nama-e amaal me 70 nekiya likh deta hai,,,,,,
Or agar usne khud apne haatho se uski zarurat ko pura kiya to ALLAH kareem use gunaho se aise paak farma deta hai jaise MAA ke pet se paida hone wala bacha gunaho se paak hota hai,,,,,,,
Or agar zarurat pura karte karte mar jaae to ALLAH use bigair hisab ke jannat me daakhil farma dega.
(deen O dunya ki anokhi baate jild no,1 safa no,259)
10,
Hadees - 3 kaam aise hai jinhe karne se qayamat ke din ALLAH humare mukhalif hoga (yani jiske khilaf allah ho use jahannam me jana pakka hai)
Humare nabi ne farmaya wo 3 kaam ye hai.
1) koi shakhs ALLAH ke naam se koi AHED kare (waada kare/qasam khae) or use pura na kare.
2) dusra wo shakhs jisne kisi azaad insan ko bech diya(human trafficking ki).
3) tisra wo shakhs jisne kisi ko mazduri par rakha (naukri par rakha) usse pura kaam liya or use uski mazduri na di.
>bukhari sharif. hadees no,2227<
Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

No comments:
Post a Comment