Wednesday, 17 January 2018

HARAM KAMAI - HARAM MAAL

1, hadees - jis shakhs ne gunah ke zarye (haraam) maal kamaya,
Allah us shakhs ko us maal ke sath jahannam me daal dega,

Fir chahe wo us maal ko allah ki raah me hi Q na kharch karta ho tab bhi.
(maraseel abu daud safa no,9)

2) Manqool hai....
Bani aadam (kisi bhi insan) ne agar HARAAM ka luqma(niwala) khaya to jab tak wo luqma uske pet me rahega tab tak
Zameen or asmaan ka har firishta us par laanat karega.
Or agar use haalat me mar gaya to uska thikana jahannam hoga.
(mukashifatul quloob page no,10)

3) Hadees - sache MUSTAFA ne farmaya......
Haram ka ek luqma(niwala) khane se 40 din tak ki NAMAZ or DUA qabool nahi ki jaati.
(kanzul ummal 4/13)


Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

No comments:

Post a Comment