.....Bidat ki haqeeqat.....
*Bid'at (بدعت):*
*Bid'at ke lagvi meaning:*
*nayi cheez*. Jis tarah Quraan irshad farmata hai:
*قل ما كنت بدعا من الرسل.*
Farma do ke mai naya Rasool nahi Hu.
Nez Allah tala farmata hai:
*بديع السموات والأرض.*
Asmano zameen Ka ejad krne wala.
Bid'at ye lafz *بدعه* se mansoob hai. Jis Ka matlb *_ejad Karna, naya banana_* hai.
*Bid'at ke sharaee meaning:*
Vo aitaqaad (اعتقاد) ya vo amaal (اعمال) jo ke Huzoor ke zamane hayate zahiri me nahi the, baad me ejad hue.
*Bid'at ki meaning hadees ki roshni me:*
*وَفِي الشَّرْعِ إِحْدَاثُ مَا لَمْ يَكُنْ فِي عَهْدِ رَسُولِ اللَّهِ - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ. (مرقاة شرح مشكوة للامام ملا على القارى عليه الرحمة / فتاوى حديثية للامام ابن حجر هيثمي عليه الرحمة / اشعة اللمعات شرح مشكوة للامام عبد الحق دهلوى عليه الرحمة / تهذيب الاسماء وللغات للامام النووى عليه الرحمة ).*
Tarjuma: Bid-at har wo kaam hai jo Zamanae Risalat me na tha (Baad me aya).
Nateeja ye nikla ke bid'at e sharaee ki do qisme hai.
1) Bid'at e aitaqaadi (بدعت اعتقادى).
2) Bid'at e amali (بدعت عملى).
Insha Allah, is ki tafseel aage pesh hogi.
*قَالَ الْعُلَمَاءُ الْبِدْعَةُ خَمْسَةُ أَقْسَامٍ وَاجِبَةٌ وَمَنْدُوبَةٌ وَمُحَرَّمَةٌ وَمَكْرُوهَةٌ وَمُبَاحَةٌ (شرح مسلم شريف ، للامام النووى عليه الرحمة / فتح البارى شرح بخارى للامام ابن حجر عسقلانى عليه الرحمة ).*
Tarjuma: Ulema farmate hai Bid-at ki 5 qisme hai. Wajib / Mandoob / Haram / Makrooh / Mubaha.
*Asl mafhoom:*
Bid'ut ki 2 qisme:
1- Bid'at e aetaqadi - Jo mukammal galat. (Bajaye un aqeedo ke jo taqleed ke daire me ate hai.)
2- Bid'at e umali - jis me aur 2 shamil kiye gaye:
A- bid'at e hasana- aisi bid'ut jo acchi ho. ( Mandooba, mubaha, vajiba).
B- bid'at e sayyiah- aisi bid'ut jo gumrahi ho. (Makrooha, muharrima).
*Insha Allah is ki misale aage pesh hongi.*
Najdi is hadees par zara gaor kare, jo baar baar ek hi rut lagate hai:
*کل بدعة ضلاله.*
Tarjuma: hur bid'at gumrahi hai.
Agr har bid'at is hadees ki roo se gumrahi hai, to phir is tarah bid'ut ko 5 hisso me taqseem krne Ka kya maqsad.
Sabit hua, hadees to sahi hai, lekin najdi is se be khabar hai. Is hadees me hur vo bid'at gumrahi hai, jis ki nisbat galat raah par ho.
Varna, najdi khud is me buri tarah phans sakta hai, ke us ne bhi aaj deen o dunya me aisi cheeze ejad ki hai, ke apne hi jaal me phans sakta hai, aur khud bid'ati sabit ho sakta hai.
*حَدَّثَنَا يَعْقُوبُ، حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ سَعْدٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنِ القَاسِمِ بْنِ مُحَمَّدٍ، عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا، قَالَتْ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَنْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هَذَا مَا لَيْسَ فِيهِ، فَهُوَ رَدٌّ» ( بخارى شريف ، كتاب الصلح / مسلم شريف ، كتاب الاقضية).*
Hadees: Mustafa ne Irshad Farmaya, Jisne is Deen me aisa kaam shuru kiya jiski (Asl) deen me nahi, to wo kaam mardood hai.
Mundarija baala hadees ke mafhoom se sabit hua, ke bid'at e mardood ke liye 2 cheezo Ka hona shart hai.
*مَنْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هَذَا مَا لَيْسَ فِيهِ، فَهُوَ رَد*
1) vo cheez nayi ho.
2) vo cheez _deen me se na_ ho.
Is hadees se aur pichli hadees ne bilkul vazeh kr diya, ke bid'ut ke liye sharait ko pakadna zaroori hai. Varna Mustafa
*(ماليس فيه)*
Farma kr bid'at ke matlab ko alihida na farmate, bulki seedhe seedhe bid'at ko bid'at hi bol kar mardood farma dete.
*Mustafa Ka use alahida pesh krna bid'at e hasana ko sabit karta hai.*
*فَقَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَنْ سَنَّ فِي الْإِسْلَامِ سُنَّةً حَسَنَةً، فَلَهُ أَجْرُهَا، وَأَجْرُ مَنْ عَمِلَ بِهَا بَعْدَهُ، مِنْ غَيْرِ أَنْ يَنْقُصَ مِنْ أُجُورِهِمْ شَيْءٌ، وَمَنْ سَنَّ فِي الْإِسْلَامِ سُنَّةً سَيِّئَةً، كَانَ عَلَيْهِ وِزْرُهَا وَوِزْرُ مَنْ عَمِلَ بِهَا مِنْ بَعْدِهِ، مِنْ غَيْرِ أَنْ يَنْقُصَ مِنْ أَوْزَارِهِمْ شَيْءٌ» (مسلم شريف ، حديث نمبر 1017).*
*Mafhoome Hadees:*
Mustafa ne Irshad Farmaya, Jisne Islam me koi Achcha Tariqa *SHURU* kiya, To use uska sawab milega. Aur use bhi sawab milega jo uspar amal karega. Aur shuru karne wale ka sawab kam na hoga.
Aur jo islam me bura tariqa shuru karega, to uspar uska gunah sabit hoga. Aur use bhi gunah hoga Jo uspar amal karega. Aur shuru karne wale ke gunah me koi kami na hogi.
Muslim shareef ki is hadees e paak ne bid'ut ki 2 qismo ko sabit kar diya.
١) *سُنَّةً حَسَنَةً* - اچھا کام۔
٢) *سُنَّةً سَيِّئَةً* - برا کام۔
Ab Najdi kya bahana karega, ke *har bid'at gumrahi hai.*
Aisa bilkul bhi nahi. * balke Hur MARDOOD(buri) bid'at gumrahi hai.*
*كل بدعة ضلاله (مسلم شريف)*
Har Bid'at gumrahi hai. ( *Asl meaning*)
Agr najdi is baat ka dawa kare, ke Muslim shareef se sabit hua hai, ke har bid'at gumrahi hai, phir vo kaisi bhi ho. Acchi ya buri. To vo mundarija bala ahaadees ke baare me kya kahta hai?
١) *وَحَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، وَأَبُو كُرَيْبٍ، وَإِسْحَاقُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ، جَمِيعًا عَنْ وَكِيعٍ، قَالَ أَبُو كُرَيْبٍ: حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنِ ابْنِ أَبِي خَالِدٍ، وَمِسْعَرٍ، وَالْبَخْتَرِيِّ بْنِ الْمُخْتَارِ، سَمِعُوهُ مِنْ أَبِي بَكْرِ بْنِ عُمَارَةَ بْنِ رُؤَيْبَةَ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، يَقُولُ: «لَنْ يَلِجَ النَّارَ أَحَدٌ صَلَّى قَبْلَ طُلُوعِ الشَّمْسِ، وَقَبْلَ غُرُوبِهَا» - يَعْنِي الْفَجْرَ وَالْعَصْرَ -، " فَقَالَ لَهُ رَجُلٌ مِنْ أَهْلِ الْبَصْرَةِ: آنْتَ سَمِعْتَ هَذَا مِنْ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ؟ قَالَ: نَعَمْ، قَالَ الرَّجُلُ: وَأَنَا أَشْهَدُ أَنِّي سَمِعْتُهُ مِنْ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، سَمِعَتْهُ أُذُنَايَ، وَوَعَاهُ قَلْبِي " (مسلم شريف ، حديث نمبر 634)*
Mafhoome Hadees: Mustafa ne Irshad Farmaya, Use jahannam ki aag hargiz na chuegi jisne Fajr aur Asr ki namaaz ada ki.
Khulasae kalam: Mustafa ke is irshad me bhi agarche umoomiyat paayi jaati hai, magar haq yahi hai ke ye bhi apne umoom par nahi bulke isme bhi tashkees hai.
۲) *حَدَّثَنَا هُدْبَةُ بْنُ خَالِدٍ، قَالَ: حَدَّثَنَا هَمَّامٌ، حَدَّثَنِي أَبُو جَمْرَةَ، عَنْ أَبِي بَكْرِ بْنِ أَبِي مُوسَى، عَنْ أَبِيهِ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «مَنْ صَلَّى البَرْدَيْنِ دَخَلَ الجَنَّةَ» (بخارى شريف ،حديث نمبر 574)*
Mafhoome Hadees: Mustafa ne Irshad Farmaya, Jisne 2 Thandi namaaze ( *Fajr aur Asr*) ada ki wo jannat me jayega.
Khulasae kalam: Ye hadees sharif bhi sabiqa hadeese pak ki tarah hai. Agarche ke umoomiyat rakhti hai, magar haqiqat me apne umoom par nahi.
Jisne sirf Fajr aur Asr ada ki, magar Zohar, Magrib aur Isha na parhi, kya wo Jannat me jayega ?
- *bilkul bhi nahi.*
To kya naooz billah ye hadees galat hai?
Aisa nahi hai. Balki is hadees e paak me 2 namazo ko makhsoos kiya gaya, aur us par focus kiya gaya. Varna agar hadees directly as it is le li jaye, to har koi, 2 hi namaze padhega aur apne aap ke jannati hone ka dawa karega. Lekin aisa nahi hai. Hadees paak me :
*مَنْ صَلَّى البَرْدَيْنِ دَخَلَ الجَنَّة*
Apne asl meaning me nahi hai.
Thik isi tarah, ooper ki hadees me:
*كل بدعة ضلاله*
Apne asl matlab me nahi, balki umoomi hai.
*حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ قَالَ: حَدَّثَنَا أَبُو عَاصِمٍ قَالَ: حَدَّثَنَا حَيْوَةُ بْنُ شُرَيْحٍ قَالَ: أَخْبَرَنِي أَبُو صَخْرٍ، قَالَ: حَدَّثَنِي نَافِعٌ، أَنَّ ابْنَ عُمَرَ جَاءَهُ رَجُلٌ فَقَالَ: إِنَّ فُلَانًا يَقْرَأُ عَلَيْكَ السَّلَامَ، فَقَالَ لَهُ: إِنَّهُ بَلَغَنِي أَنَّهُ قَدْ أَحْدَثَ، فَإِنْ كَانَ قَدْ أَحْدَثَ فَلَا تُقْرِئْهُ مِنِّي السَّلَامَ، فَإِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: «يَكُونُ فِي هَذِهِ الأُمَّةِ أَوْ فِي أُمَّتِي - الشَّكُّ مِنْهُ - خَسْفٌ أَوْ مَسْخٌ أَوْ قَذْفٌ فِي أَهْلِ القَدَرِ»: هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ.(ترمذى شريف ، حديث نمبر 2152).*
Mafhoome Hadees: Sayyedana Abdullah Ibne Omar se kisi ne kaha, Fula shakhs ne aapko salam kaha hai. Unhone kaha mujhe khabar pahunchi hai ke wo Bid-ati ho gaya hai. Agar wo Bid-ati ho gaya ho to mera salaam use nahi pohchana.
Maine suna ke Mustafa ne Irshad Farmaya, Is ummat me *Qazaf/khasaf/masakh* (Azaab) hoga taqdeer ka inkaar karne walo par.
Is hadeese pak se Bid'at ki haqeeqat vazeh ho jati hai.
Dekho isme Bid'at ka bhi Zikr hai aur kis wajeh se Bid'ati ban gaya uska bhi zikr hai.
*Kya us shakhs ne Milad mana shuru kiya? Ya urs karna ? Ya fateha dena ? Ya Azaan se pehle durud parhna? Ya quraan khwani karna?*
Agar nahi to phir wo Bid'ati kaise ban gaya? Jitne umoor hamne oopar bayan kiye hai unka Ta-alluk amaal se hai. Aur jis ki bunyaad par Bid-ati hone ki baat is hadeese pak me hai uska Ta-alluk Aqeede se hai.
Isiliye Sayyedana Abdullah ne farmaya ke Bid'ati isliye ban gaya ke *usne apna Aqeeda badal diya*. _*Wo Taqdeer ka inkari ho gaya.*_
Sabit huwa ke Bid'at Dar asl aqeede me naya pan hai. Jo aqeeda sahaba, Tabaeen, Tabae-tabaeen aur Fuqahae Deen ka hai wahi Deen hai aur jo iske khilaaf hai wahi Bid'at hai.
Ab Najdi, sirf amal ko dekh kar hum par bid'at ka fatwa na lagaye.
Najdi khud bid'ati hai. Kyu ki us ne hi, bid'at e aitaqaadi ko qaim kiya hai.
*Huzoor sirf bashar hai.*
*Huzoor ko ilme gaib nahi.*
*Huzoor be ikhtiyar majboor hai.*
*Huzoor hazir o nazir nahi.*
*نعوذ بالله من ذلك.*
Etc etc.
*What you created, actually that is invention (bid'at), not what we do.*
*أَصْلُ الْأَشْيَاءِ الْإِبَاحَةُ. (مرقاة شرح مشكوة للامام ملا على القارى عليه الرحمة/ تفسير نسفي / تفسير قرطبي / تفسير خازن / تفسير روح البيان/ أشعة اللمعات شرح مشكوة للامام الشاه عبد الحق محدث دهلوى عليه الرحمة).*
*Tarjama:* Aslan har cheez Mubah hai (Jab tak shariat mana na kare).
*أن الفعل يدل على الجواز، وعدم الفعل لا يدل على المنع. (مواهب اللدنية للامام قسطلانى عليه الرحمة/ فتح البارى شرح بخارى للامام ابن حجر عسقلانى عليه الرحمة).*
*Tarjama:* Kisi kaam ka karna uske jawaz ki daleel hota hai. Aur kisi kaam ka na karna uske mana (Prohibition - منع) ki daleel nahi hota.
*عدم النقل لا ينفى الوجود ( فتح القدير للامام ابن الهمام عليه الرحمة).*
*Tarjama:* Kisi cheez ka zikr na karna uske wajood ki nafi nahi hota.
*Khulasae kalam:* Fuqhae Islam ki tafseer se ye sabit huwa ke aslan har shai(cheez) mubah hai jab tak shariat mana na kare.
Hurmat ke liye daleele sharaee zaroori hai. Lihaza najdiyon ka umoore mustahab ko Bid'at kehkar Haram qarar dena, Shariat ke bunyadi usoolo ke khilaaf hai.
Ab khud najdi hi soche, ke jise vo bid'at kahta hai. Asl me vo bid'at hai bhi ya nahi.
*مَا آتَاكُمُ الرَّسُولُ فَخُذُوهُ وَمَا نَهَاكُمْ عَنْهُ فَانتَهُوا وَاتَّقُوا اللَّهَ إِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ. (سورة الحشر ٧).*
*Tarjuma:* Rasool jo de use lo aur jisse roke usse ruk jao aur Allah se daro. Beshak Allah ka azaab sakht hai.
Quran ki is ayut e kareema se ek baat Sabit ho gayi. Agar najdi, kisi kaam ke karne ki daleel maange to use chahiye ke vo us kaam ke na karne par bhi vaisi authentic daleel de, jis tarah ki daleel Ka vo mutalib hai.
*Huzoor ki ata aam hai. Jab baat halal ki ho, to us ke liye daleel zaroori nahi albatta agar koi cheez ko na jaiz ya haram batana ho to daleel zaroori hai.
Jis tarah, mundarja ayat e kareema:
*وَقُلْنَا يَا آدَمُ اسْكُنْ أَنتَ وَزَوْجُكَ الْجَنَّةَ وَكُلَا مِنْهَا رَغَدًا حَيْثُ شِئْتُمَا وَلَا تَقْرَبَا هَٰذِهِ الشَّجَرَةَ فَتَكُونَا مِنَ الظَّالِمِينَ. (سورة البقرة ٣٥).*
*Tarjama:* Aur hamne aadam se kaha, Tu aur teri biwi jannat me reh. Aur usme jo chaho khawo magar is ped ke qareeb na jana ke nuqsaan walo me se ho jawoge.
Is ayat e kareema, me jaiz kaam ko umoomiyat se pesh kiya, bazahir perticularly naam le le kar pesh nahi kiya gaya, lekin jab baat na jaiz aur galat kaam ki ayi to, bazahir naam le kar use mana kiya gaya.
In dono ayato se chand baate sabit hui.
1) Huzoor ki ata aam hai, aur mana khaas.
2) Agr jawaz ke saboot me daleel ki zaroorat hai, to na jawaz ke liye bhi daleel deni padegi.
3) Jaiz hone ke liye, daleel ki zaroorat nahi. Na jaiz hone ke liye daleel ki zaroorat hai.
*Ab najdi asl aur authentic dalail se, eid e meelad, fatiha, 11vi vagera ko bid'at, najaiz ya haram Sabit kar de. Buss.* Phir hum se jawaz ki daleel le.
*وَعَنِ ابْنِ شِهَابٍ، عَنْ عُرْوَةَ بْنِ الزُّبَيْرِ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَبْدٍ القَارِيِّ، أَنَّهُ قَالَ: خَرَجْتُ مَعَ عُمَرَ بْنِ الخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، لَيْلَةً فِي رَمَضَانَ إِلَى المَسْجِدِ، فَإِذَا النَّاسُ أَوْزَاعٌ مُتَفَرِّقُونَ، يُصَلِّي الرَّجُلُ لِنَفْسِهِ، وَيُصَلِّي الرَّجُلُ فَيُصَلِّي بِصَلاَتِهِ الرَّهْطُ، فَقَالَ عُمَرُ: «إِنِّي أَرَى لَوْ جَمَعْتُ هَؤُلاَءِ عَلَى قَارِئٍ وَاحِدٍ، لَكَانَ أَمْثَلَ» ثُمَّ عَزَمَ، فَجَمَعَهُمْ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ، ثُمَّ خَرَجْتُ مَعَهُ لَيْلَةً أُخْرَى، وَالنَّاسُ يُصَلُّونَ بِصَلاَةِ قَارِئِهِمْ، قَالَ عُمَرُ: «نِعْمَ البِدْعَةُ هَذِهِ، وَالَّتِي يَنَامُونَ عَنْهَا أَفْضَلُ مِنَ الَّتِي يَقُومُونَ» يُرِيدُ آخِرَ اللَّيْلِ وَكَانَ النَّاسُ يَقُومُونَ أَوَّلَهُ.(بخارى شريف ، حديث نمبر 2010)*
*Mafhoome Hadees:* Sayyedana Umar ne Tarawih Ba jamat ko dekh kar Farmaya, Ye kitni achchi Bid'at hai.
*Khulasae kalam:* Namaze Taravih ki jamat ka dawam mustafa ke daur me na tha. Sayyedana umar ne iski shuruwat ki. Aapne use achchi bid'at kaha.
Is hadees e paak ne Bid'at e hasana ko sabit kar diya.
Varna sayyedina Umar
*نِعْمَ البِدْعَةُ هَذِهِ، وَالَّتِي يَنَامُونَ عَنْهَا أَفْضَلُ مِنَ الَّتِي يَقُومُون*
Is tarah farma kar, us bid'at ko accha na kehte, balki. Nisbat acche kaam se krte. Lekin saaf saaf, kaha *ye acchi bid'at hai.*
Ab najdi ko aur kya daleel chahiye, ke bid'at e hasana bhi koi cheez hai.
Hamara meelad manana, fatiha krna, 11vi krna, grche bid'at ho. *Lekin ye bid'at e hasana (acchi bid'at) hai.
*حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ دَاوُدَ بْنِ صَبِيحٍ، حَدَّثَنَا الْفَضْلُ بْنُ دُكَيْنٍ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدٌ يَعْنِي ابْنَ شَرِيكٍ الْمَكِّيَّ، عَنْ عَمْرِو بْنِ دِينَارٍ، عَنْ أَبِي الشَّعْثَاءِ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ: «كَانَ أَهْلُ الْجَاهِلِيَّةِ يَأْكُلُونَ أَشْيَاءَ وَيَتْرُكُونَ أَشْيَاءَ تَقَذُّرًا،» فَبَعَثَ اللَّهُ تَعَالَى نَبِيَّهُ، صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَأَنْزَلَ كِتَابَهُ، وَأَحَلَّ حَلَالَهُ، وَحَرَّمَ حَرَامَهُ، فَمَا أَحَلَّ [ص: ٣٥٥] فَهُوَ حَلَالٌ، وَمَا حَرَّمَ فَهُوَ حَرَامٌ، وَمَا سَكَتَ عَنْهُ فَهُوَ عَفْوٌ " وَتَلَا {قُلْ لَا أَجِدُ فِيمَا أُوحِيَ إِلَيَّ مُحَرَّمًا} إِلَى آخِرِ الْآيَةِ. (أبو داؤد شريف ، حديث نمبر 3800، صحيح حديث ).*
*Mafhoome Hadees:* Mustafa ne Irshad Farmaya, Allah Ta-ala ne apne Nabi par Quraan nazil kiya. Halal ko halal aur haram ko haram qarar diya. Aur jiska zikr nahi kiya wo muaaf hai.
Is Hadees se sabit huwa ke jis kaam ke halal ya haram hone par daleel na ho wo kaam mubah (Jaiz) hai. Shar-an aise kaamo par pakad nahi hogi.
*Ehkaame Amr (Do's): Farz / Wajib / Muak-kida / Gair Muak-kida / Mustahab/ Mubah.*
*Ehkaame Nahi (Don'ts): Haram / Tehrimi / Usaat / Tanzihi / Khilaafe Awla.*
*Farz / Wajib* Amr ki Top class hai. Ye bagair daleel ke sabit nahi hote.
Isi tarah *Haram*, Nahi ki Top class hai, ye bhi bagair daleel sabit nahi hota.
Agr najdi, hamari niyazo, sheerni, aur baqiya umoor ko haram kehta ho, to use us ki daleel deni hi padegi.
Yaha tak ke, agar na jaiz bhi kahta ho, tab bhi, use daleel deni hogi. Kyu ki hadees e paak ne sabit kar diya, ke jis ka zikr nahi vo maaf hai. Zahir hai, use explain karne ki zaroorat nahi.
Agar najdi ko Quraan o hadees me fatiha, niyaz meelad, 11vi Ka nishan nahi milta to ab najdi khamosh hi rahe, kyu ki agar zikr nahi to mubaah hai, jis ke karne par koi rok nahi. Aur agar mil jaye, to bata de. Kyu ki ye hamara challenge hai. Najdi, taa qayamat meelad, fatiha, niyaz, sheerni ko haram ya na jaiz sabit hi nahi kar sakta. *Insha Allah.*
*فَقَالَ مُعَاذٌ: لَا أَرَاهُ عَلَى حَالٍ إِلَّا كُنْتُ عَلَيْهَا، قَالَ: فَقَالَ: إِنَّ مُعَاذًا، قَدْ سَنَّ لَكُمْ سُنَّةً، كَذَلِكَ فَافْعَلُوا...(ابوداؤد شريف ، صحيح حديث ، نمبر 506)*
*Mafhoome Hadees:* Sayyedana Muaaz ne kaha, Mai jis haal me Rasoolallah ko dekhunga usi haal me namaaz shuru karunga.
*(Note: Ek Taweel hadees shareef ka hissa zikr kiya gaya hai).*
*Khulasae kalam:* Shuru me sahaba jitni namaaz faut huwi hoti (Jamat me deri se shamil hone ki wajeh se) wo ada karte yaha tak ke wo Mustafa ke saath shamil hote.
Sayyedana muaaz ne ye kiya ke wo jis haal me Mustafa ko pate wahi se namaaz shuru karte. Aur jitni faut huwi hoti, wo baad me ada karte.
Sayyedana Muaaz ke is naye tariqe ko mustafa ne jab mulahiza kiya to Irshad Farmaya, Muaaz ne tumhare liye achcha tariqa shuru kiya hai. Ab tum aisa hi kiya karo. Aaj tak ummat isi tariqe par amal kar rahi hai.
Waajeh ho ke, Sayyedana muaaz ne wo kaam shuru kiya jiske karne ki Quraan wa hadees me koi sarahatan daleel na thi. Phir bhi Mustafa ne unke kaam ko saraha.
Zahir si baat hai, jub Huzoor Namaz padha rahe hai, aur sahaba Namaz padh rahe hai, to Namaz farz hi hogi. Phir sayyedina Maaz ne bina Huzoor se pooche farz namaz me dakhal kyu kiya?
Najdi bol sakta hai.
*Vo to sahabi the, hum sub quroon e salasa tuk ko sahi mante hai aur unke raste par chalte hai, to sahabi ka karna hamare liye daleel hai.*
Is Ka jawab yu hoga:
_Agar che hum quroon e salasa ko mante hai, lekin jub saamne Huzoor ki zaat ho to Huzoor bazahir daleel hai. Aur quroon e salasa ki baat Huzoor ke baad hi hogi._
Lekin chunke ke sahabi e Mustafa jante the, ke acche kaam ki bunyaad kya hai, aur bure kaam ki jad kya hai.
Isi tarah, hamara meelad,11vi krna choonke farz nahi, lekin Imaan me mazbooti lane ka zariya hai... So hum vo karte hai.
*Chund zaroori bate hadeeso ki roshni me:*
*حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مَسْلَمَةَ، عَنْ مَالِكٍ، عَنْ نُعَيْمِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ المُجْمِرِ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ يَحْيَى بْنِ خَلَّادٍ الزُّرَقِيِّ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ رِفَاعَةَ بْنِ رَافِعٍ الزُّرَقِيِّ، قَالَ: " كُنَّا يَوْمًا نُصَلِّي وَرَاءَ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَلَمَّا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنَ الرَّكْعَةِ قَالَ: سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ "، قَالَ رَجُلٌ وَرَاءَهُ: رَبَّنَا وَلَكَ الحَمْدُ حَمْدًا كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيهِ، فَلَمَّا انْصَرَفَ، قَالَ: «مَنِ المُتَكَلِّمُ» قَالَ: أَنَا، قَالَ: «رَأَيْتُ بِضْعَةً وَثَلاَثِينَ مَلَكًا يَبْتَدِرُونَهَا أَيُّهُمْ يَكْتُبُهَا أَوَّلُ» (بخارى شريف ،حديث نمبر 799).*
*Mafhoome Hadees:* Mustafa ki Iqtida me Namaaz ada karte huwe ek sahabi ne jab ruku se sar uthaya to Kuch Duwaaiya alfaz kahe. Jab namaaz khatam huwi to Mustafa ne poocha " Kisne wo kalimaat kahe the ? Maine dekha 30 se zyada farishto ko, wo lapke the ke kaun pehle unko likhe.
Namaaz kaise parhni chahiye ? Mustafa ka farman hai :
*صلوا كما رأيتمونى اصلى* *(بخارى شريف).*
*Tarjuma:* Namaaz parho jaisa mujhe dekhte ho parhte huwe.
Maloom huwa ke namaaz ka tariqa muta-ayyan hai. Koi apni marzi se kuch nahi kar sakta.
Aisi muta-ayyan ibadat me bhi Sahabi ne wo amal kiya jo Quraan ya hadees se sabit na tha. Magar chunke achcha tha isiliye Mustafa ne use saraha.
*Ek aur hadees mulahiza ho:*
*حَدَّثَنَا زُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ، حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ ابْنُ عُلَيَّةَ، أَخْبَرَنِي الْحَجَّاجُ بْنُ أَبِي عُثْمَانَ، عَنْ أَبِي الزُّبَيْرِ، عَنْ عَوْنِ بْنِ عَبْدِ اللهِ بْنِ عُتْبَةَ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: بَيْنَمَا نَحْنُ نُصَلِّي مَعَ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذْ قَالَ رَجُلٌ مِنَ الْقَوْمِ: اللهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا، وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا، وَسُبْحَانَ اللهِ بُكْرَةً وَأَصِيلًا، فَقَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مِنَ الْقَائِلُ كَلِمَةَ كَذَا وَكَذَا؟» قَالَ رَجُلٌ مَنِ الْقَوْمِ: أَنَا، يَا رَسُولَ اللهِ قَالَ: «عَجِبْتُ لَهَا، فُتِحَتْ لَهَا أَبْوَابُ السَّمَاءِ» قَالَ ابْنُ عُمَرَ: «فَمَا تَرَكْتُهُنَّ مُنْذُ سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ ذَلِكَ» (مسلم شريف ، حديث نمبر 601).*
*Mafhoome Hadees:* Mustafa ki Iqtida me Namaaz ada karte huwe Takbeere Tehrima ke waqt ek sahabi ne chand alfaz kahe. Mustafa ne Irshad Farmaya, Ye kalimaat kisne kahe ? Un sahabi ne arz kiya maine ya Rasoolallah.
Mustafa ne Irshad Farmaya, Maine dekha unke liye aasmaan ke darwaze khol diye gaye.
Pichle point me aapne mulahiza kiya ke namaaz ka tariqa mustafa se sabit hai. Koi ise change nahi kar sakta.
Aisi muta-ayyan ibadat me bhi Sahabi ne wo amal kiya jo Quraan ya hadees se sabit nahi tha. Phir bhi Mustafa ne uski tareef ki.
*Ek aur hadees mulahiza ho:*
*عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، كَانَ رَجُلٌ مِنَ الأَنْصَارِ يَؤُمُّهُمْ فِي مَسْجِدِ قُبَاءٍ، وَكَانَ كُلَّمَا افْتَتَحَ سُورَةً يَقْرَأُ بِهَا لَهُمْ فِي الصَّلاَةِ مِمَّا يَقْرَأُ بِهِ افْتَتَحَ: بِقُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ حَتَّى يَفْرُغَ مِنْهَا، ثُمَّ يَقْرَأُ سُورَةً أُخْرَى مَعَهَا، وَكَانَ يَصْنَعُ ذَلِكَ فِي كُلِّ رَكْعَةٍ، فَكَلَّمَهُ أَصْحَابُهُ، فَقَالُوا: إِنَّكَ تَفْتَتِحُ بِهَذِهِ السُّورَةِ، ثُمَّ لاَ تَرَى أَنَّهَا تُجْزِئُكَ حَتَّى تَقْرَأَ بِأُخْرَى، فَإِمَّا تَقْرَأُ بِهَا وَإِمَّا أَنْ تَدَعَهَا، وَتَقْرَأَ بِأُخْرَى فَقَالَ: مَا أَنَا بِتَارِكِهَا، إِنْ أَحْبَبْتُمْ أَنْ أَؤُمَّكُمْ بِذَلِكَ فَعَلْتُ، وَإِنْ كَرِهْتُمْ تَرَكْتُكُمْ، وَكَانُوا يَرَوْنَ أَنَّهُ مِنْ أَفْضَلِهِمْ، وَكَرِهُوا أَنْ يَؤُمَّهُمْ غَيْرُهُ، فَلَمَّا أَتَاهُمُ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَخْبَرُوهُ الخَبَرَ، فَقَالَ: «يَا فُلاَنُ، مَا يَمْنَعُكَ أَنْ تَفْعَلَ مَا يَأْمُرُكَ بِهِ أَصْحَابُكَ، وَمَا يَحْمِلُكَ عَلَى لُزُومِ هَذِهِ السُّورَةِ فِي كُلِّ رَكْعَةٍ» فَقَالَ: إِنِّي أُحِبُّهَا، فَقَالَ: «حُبُّكَ إِيَّاهَا أَدْخَلَكَ الجَنَّةَ» (بخارى شريف ،كتاب الآذان).*
*Mafhoome Hadees:* Masjide Quba ke Imam har Raka-at me Surae Ikhlas (قل هوالله احد) tilawat karte. Phir koi doosri surat parhte. Muqtadiyo ne aiteraz kiya ke aisa na karo. Unhone maanne se inkaar kiya.
Logo ne Mustafa se shikayat ki. Mustafa ne Irshad Farmaya, unse poocho wo aisa kyu karte hai ? Unse poocha gaya. Kaha, mai is sura se Muhabbat karta hoon.
Mustsfa ne suna to Irshad Farmaya, isse tumhari muhabbat tumhe jannat me dakhil karegi.
Pichli 2 riwayato ki tarah is hadees se bhi aisa kaam sabit hota hai jo na Quraan se sabit tha nahi wo tariqae mustafa tha. Phir bhi Mustafa ne uspar amal karne wale ko jannat ki basharat di.
Jab namaaz ka ye aalam hai to Namaaz ke bahar achcha kam Bid-at kaise ho sakta hai?
*Sabit ho chuka, agar koi kaam Quraan ya hadees se sarahatan sabit na ho, magar wo achcha ho to kiya jayega. Wo bid-at nahi.*
*أَخْبَرَنَا أَحْمَدُ بْنُ جَعْفَرٍ الْقَطِيعِيُّ، ثنا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ حَنْبَلٍ، حَدَّثَنِي أَبِي وَأَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ، قَالَا: ثنا أَبُو بَكْرِ بْنُ عَيَّاشٍ، ثنا عَاصِمٌ، عَنْ زِرٍّ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ: «مَا رَأَى الْمُسْلِمُونَ حَسَنًا فَهُوَ عِنْدَ اللَّهِ حَسَنٌ، وَمَا رَآهُ الْمُسْلِمُونَ سَيِّئًا فَهُوَ عِنْدَ اللَّهِ سَيِّءٌ، وَقَدْ رَأَى الصَّحَابَةُ جَمِيعًا أَنْ يَسْتَخْلِفُوا أَبَا بَكْرٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ» هَذَا حَدِيثٌ صَحِيحُ الْإِسْنَادِ (المستدرك للامام حاكم عليه الرحمة/ مقاصد الحسنة للامام سخاوى عليه الرحمة).*
*Mafhoome Hadees :* Sayyedana Abdullah ibne Masood riwayat karte hai, Jis kaam ko musalman achcha samajhe, wo kaam Allah ke nazdeek bhi achcha hai.
*Khulasae kalam:* Milaad, Eisaale sawab, Durud-o-salaam... etc ye sab kaam poori ummat me sadiyon se chale aarahe hai.
Alame islam ke bade bade mufassireen, Muhadditheen aur fuqahae Deen ne is par amal kiya. Aaj un amaal ko agar koi Bid-at kahe to yaqinan is sahi Hadees ke khilaaf hai.
Ab najdi ko chahiye ke vo kisi kaam ko bura/na jayez/ haram kahne se pahle pukhta daleel pesh kare, kyu ki hum sabit kar chuke hai ke bid'at asal me kise kahte hai.
الصلاة والسلام عليك يا رسول الله.
الله اعلم ثم رسول الله أعلم.