Friday, 30 March 2018

ISLAMI TALEEM GREAT KNOWLEDGE QUESTION 1

https://plus.google.com/collection/wOi4YE


Agle silsile ke agle sawalo ke jawab padhne or hasil karne ke liye oupar di gai link par click kijye

Islami taleem. islamic question answer



Agle silsile ke agle sawalo ke jawab padhne or hasil karne ke liye oupar di gai link par click kijye

Friday, 16 March 2018

Namaz aur namazi

1) Hadees - MUHAMMAD MUDMSTAFA sallal laahu alaihi wa sallam ne farmaya......

2 namaze aisi hai jo MUNAFIQO par bahot BHAARI(mushkil) hai.
                          FAJR    &    ISHA
(bukhari shareed page 90)

Taalib-E dua: imtesal razvi shafaee

JANNATI

1) Hadees - humare NABI ne farmaya.......

Jiski zindagi ka aakhri kalaam (yani marte waqt jumla) "LA ILAAHA ILLAL LAAH" hoga wo jannat me jaega.
(al-mustadrak hadees no, 1885)


Taalib-E dua: imtesal razvi shafaee

Sunday, 11 February 2018

SABSE AFZAL/BEHTAR

1) Hadees sabse acha musalman - humare nabi ne farmaya........
Sabse afzal/acha/behtar musalman wo hai jiske ZABAN or HAATH se dusre musalman mehfooz rahe.
(bukhari sharif jild no,1 kitabul eiman)

2) Hadees - SALAAM me pahel karne wala(yani dusre se pehle khud salaam karne wala) shakhs (dusre logo se)  AFZAL hai.
(abu daud sharif safa no,706)

Taalib-E dua: imtesal razvi shafaee

BUZURGO KI BAATE

hazrat WAHEEB bin WARAD se puchha gaya.....
Kya ALLAH ki NA-FARMANI karne wala banda ibadat ki lazzat pa sakta???

Unhone irshad farmaya......
NAHI !  balke jo jo shakhs GUNAH ka pakka IRADA kar leta hai wo bhi ibadat ki lazzat se mehroom ho jaata h.
(صفةالصفوه جلد ١ الجزالثانى صفحه ١٤٩)

BETI REHMAT HAI

1) Hadees - jab kisi ghar me ladki paida hoti hai to ALLAH KAREEM apne firoshto ko bhejta hai jo us ghar par aa kar kehte hai AS'SALAMU ALAIKUM aeGHAR WALO......

Phir FIRISHTE us bachi par apne paro ka saaya karte hai or uske sar par apna haath pherte hai......

Or phir us ghar walo se kehte hai ye ek kamzor jaan hai jo ek kamzor jaan se paida huwi hai(yani ladkiya nazuk hai jo apni maa se paida hoti h or maa bhi ladki hoti h is liye wo bhi nazuk hoti)
Lihaza jo shakhs is kamzor jaan ki parwarish ki zimmedari lega QAYAMAT tak ALLAH ki rehmat us shakhs ke sath rahegi. Majmoo-uz zawaid jild no,8 hadees no,13484)

Thursday, 25 January 2018

MUSIC ISLAM KI RAOSHNI ME???

1) hadees about music - sache NABI MUHAMMADUR rasool ullah ne farmaya.......

Do awazo par dunya or aakhirat me lanat hai.
1) khushyo ke waqt BAAJO(gaane baajo) ki awaz par.
2) museebat ke waqt chillane ki awaz par.
(majmu uz zawaid jild no,3 hadees no,4017)


Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

SHABE QADR

1) hazrat ALI razi allahu anhu farmate hai......
Jo shakhs shabe qadr ki raat 7 martaba sure QADR padh le ALLAH KAREEM use pura saal har bala se mehfooz farma deta hai or 70 hazar firshte uske liye jannat ki dua karte hai.
(nuzhatul majalis jild no,1 safa no,223)


Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

NABI SE MAHOBBAT O AQEEDAT

1) hazrat usman gani se puchha gaya ke......
Humare nabi ka SAAYA (shadow) zameen par kiyun Q nahi padta tha???

Hazrat usman gani ke aqeedat bhare alfaz ye the ke......

Allah ne unka saaya zameen par nahi daal taake koi insan us par apna qadam na rakh de.
(tafseer-e madarik jidl no,2 safa no,103)



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

MOJZA MERE NABI KA KEH DIYA TO HO GAYA

1) nabi ka mojza hadees -
Sahabi-e rasool Hazrat bara'a bin aazib farmate hai ke........

sulah hudaibyah ke din huzoor ke sath  hum sahaba 1400 the or paani khatam ho gaya tha yaha tak ke kunwe me ek QATRA bhi pani na bacha tha.......

Itne me huzoor us kunwe par tashreef laae or paani talab farmaya lihaza humare pas pehle se jo paani jama tha humne pesh kiya......
Huzoor ne us paani se kulli ki or us paani ko kunwe me daal diya bas fir kya tha thodi hi der bad u an kunwe se itna paani nikla ke hum saare sahaba ne sairab ho kar piya or sath hi humare maweshiyo(janwaro) ne bhi ji bhar piya.
(bukhari shareef jild no,2 hadees no,788)



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

Tuesday, 23 January 2018

Monday, 22 January 2018

BIMAR / sick and BIMARI / illness

1) hadees - jo shakhs raat bhar bimaar raha or ALLAH ki riza ka talab gaar raha (yani apni bimari ko allah ki marzi samajh kar allah marzi me raazi raha/sabr kiya)

To us shakhs ko allah gunaho se aise paak farma deta hai....
Jaise bacha paida hote waqt gunaho se paak hota hai.
>kanzul ummal hadees no,6676)


2) jab koi shakhs bimar hota hai ya safar par jaata hai to allah use un nek amal ka bhi sawab deta hai jo wo tandrust hote rehte waqt or safar par muqeem rehte waqt kiya karta tha.
Yani in dono majburi me bigar nekiye kiye huwe bi humare regular ki jaane wali nekiyo ka sawab diya jaata h.
>musnad ahmad jild no,7 hadees no,19699<



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

QAYAMAT KE SAWAL O JAWAB

1) hadees - mere gaib ki khabre rakhne wale NABI ne farmaya......

Insan jo bhi QADAM uthata h uska hisab liya jaega ke kis kaam ke irade se qadam uthaya tha.
(fidosul akhbar jild no,3 hadees no,6455)



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

QURAAN & QURAN KE SURTO KI FAZEELAT

1) hadees - pyare NABI ne farmaya......
Apni AORTO(apne ghar ki aorto/ladies ko) (para 27 me) sure WAQIA sikhao Qk ye mohtaji ko door karne wali sure hai.
(musnadul firdos hadees no,4005)



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

MUSHT ZANI, HAND PRACTICE, HAST METHUN, MASTURBATION

1) hadees - azab se rokne wale MUSTAFA kareem ne farmaya.......

Jisne apne haath se nikah kiya (yani jisne musht zani/mastubation Kiya) qayamat me uska haath HAAMILA (pregnant) hoga.
(shobul eiman hadees no,5087)


2) Hadees - pyare NABI ne farmaya.......

SURE FATIHA me har marz ke liye shifa hai.
(shobul eiman hadees no,2370)

Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

RISHTO ME MAHOBBAT

*رشتوں میں محبت کیسے پیدا کریں؟*
=======================

1. ایک دوسرے کو سلام کریں -
 *(مسلم: 54)*

2. ان سے ملاقات کرنے جائیں -
 *(مسلم: 2567)*

3. ان کے پاس بیٹھنے اٹھنے کا معمول بنائیں۔
*(لقمان: 15)*

4. ان سے بات چیت کریں -
*(مسلم: 2560)*

5. ان کے ساتھ لطف و مہربانی سے پیش آئیں -
*(سنن ترمذی: 1924، صحیح)*

6. ایک دوسرے کو ہدیہ و تحفہ دیا کریں -
 *(صحیح الجامع: 3004)*

7. اگر وہ دعوت دیں تو قبول کریں -
 *(مسلم: 2162)*

8. اگر وہ مہمان بن کر آئیں تو ان کی ضیافت کریں -
 *(ترمذی: 2485، صحیح)*

9. انہیں اپنی دعاؤں میں یاد رکھیں-
 *(مسلم: 2733)*

10. بڑے ہوں تو ان کی عزت کریں -
 *(سنن ابو داؤد: 4943، سنن ترمذی: 1920، صحیح)*

11. چھوٹے ہوں تو ان پر شفقت کریں -
*(سنن ابو داؤد: 4943، سنن ترمذی: 1920، صحیح)*

12. ان کی خوشی و غم میں شریک ہوں -
 *(صحیح بخاری: 6951)*

13. اگر ان کو کسی بات میں اعانت درکار ہو تو اس کا م میں ان کی مدد کریں -
 *(صحیح بخاری: 6951)*

14. ایک دوسرے کے خیر خواہ بنیں-
 *(صحیح مسلم: 55)*

15. اگر وہ نصیحت طلب کریں تو انہیں نصیحت کریں -
*(صحیح مسلم: 2162)*

16. ایک دوسرے سے مشورہ کریں -
 *(آل عمران: 159)*

17. ایک دوسرے کی غیبت نہ کریں-
*(الحجرات: 12)*

18. ایک دوسرے پر طعن نہ کریں -
 *(الھمزہ: 1)*

19. پیٹھ پیچھے برائیاں نہ کریں -
 *(الھمزہ: 1)*

20. چغلی نہ کریں -
*(صحیح مسلم: 105)*

21. آڑے نام نہ رکھیں -
*(الحجرات: 11)*

22. عیب نہ نکالیں -
*(سنن ابو داؤد: 4875، صحیح)*

23. ایک دوسرے کی تکلیفوں کو دور کریں -
 *(سنن ابو داؤد: 4946، صحیح)*

24. ایک دوسرے پر رحم کھائیں -
 *(سنن ترمذی: 1924، صحیح)*

25. دوسروں کو تکلیف دے کرمزے نہ اٹھائیں-
*(سورہ مطففین سے سبق)*

26. ناجائز مسابقت نہ کریں۔ مسابقت کرکے کسی کو گرانا بری عادت ہے۔ اس سے ناشکری یا تحقیر کے جذبات پیدا ہوتے ہیں -
*(صحیح مسلم: 2963)*

27. نیکیوں میں سبقت اور تنافس جائز ہےجبکہ اس کی آڑ میں تکبر، ریاکاری اور تحقیر کارفرما نہ ہو -
 *(المطففین : 26)*

28. طمع ، لالچ اور حرص سےبچیں-
  *(التکاثر: 1)*

29. ایثار و قربانی کا جذبہ رکھیں -
 *(الحشر: 9)*

30. اپنے سے زیادہ آگے والے کا خیال رکھیں -
 *(الحشر: 9)*

31. مذاق میں بھی کسی کو تکلیف نہ دیں -
 *(الحجرات: 11)*

32. نفع بخش بننے کی کوشش کریں-
*(صحیح الجامع: 3289، حسن)*

33. احترام سے بات کریں۔بات کرتے وقت سخت لہجے سے بچیں -
*(آل عمران: 159)*

34. غائبانہ اچھا ذکر کریں -
*(ترمذی: 2737، صحیح)*

35. غصہ کو کنٹرول میں رکھیں -
 *(صحیح بخاری: 6116)*

36. انتقام لینے کی عادت سے بچیں-
 *(صحیح بخاری: 6853)*

37. کسی کو حقیر نہ سمجھیں -
 *(صحیح مسلم: 91)*

38. اللہ کے بعد ایک دوسرے کا بھی شکر ادا کریں -
*(سنن ابو داؤد: 4811، صحیح)*

39. اگر بیمار ہوں تو عیادت کو جائیں -
 *(ترمذی: 969، صحیح)*

40. اگر کسی کا انتقال ہو جائے تو جنازے میں شرکت کریں -
*(مسلم: 2162)*



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

Wednesday, 17 January 2018

JUMA MUBARAK

1) hadees - dozakh ki aag ROZ bhadkai jatinhai or uske darwaze khole jate hai,
Lekin.....
JUMA ke din dozakh ki aag bhadkai nahi jaati or na hi uske darwaze khole jaate hai.
(musnad shamiyeen jild no,4 hadees no,3459)

2) hadees - NABI-E-PAAK ne farmaya.......
Jo shakhs juma ke din ka gusl kare uski khataen or gunah mita diye jaate hai......

Or jab wo juma ada karne ki niyyat se (masjid ki taraf) chalta hai to har qadam par use 20 saal ki (nifli) ibadat ka sawab diya jata h.......

Or jab namaz padh leta h to uske namae-amaal me 200 saal (tow hundred years ) (nifli) amal karne ka sawab diya jaata h.
(al-mujimul awsat jild no,2 hadees no,2497)


3) hazrat ali razi allau maola irshad farmate hai ke....

Jo shakhs juma ke din juma ki namaz se pehle 3 martaba sure QADR padh leta h ALLAH KAREEM uske namae amaal me us din ke tamam namaziyo ke barabar nekiya likh deta h.
(nuzhatul majalis jild no,1 safa no,223)


4) juma ki fazeelat me ek bat or bhi likhna zaruri samajhta hu ke.......

Humare nabi ne jab makke se hijrat farmai or madeena ke liye nikle us waqt raaste me aapne ek gaar me qayaam farmaya tha(gaar me ruke the) us gaar ka naam gaare SAOR hai.

Lihaza note karne wali baat ye ke jis raat humare nabi ne is gaare me qayaam farmaya (stay kiye) wo raat JUMA KI RAAT THI (jumerat guzar kar juma ki raat)
(Seerate sayyidul ambiya safa no,231)


5) hadees juma chhodne ki mazammat -
Humare nabi ne farmaya log juma chhodne se baaz aa jae warna ALLAH unke dilo par muhar laga dega fir wo gaafilo me se ho jaenge.
(muslim shareef hadees no,2039)

6) naye kapde kis din pahenna chahiye is mutalliq riwayat me aata h -
pyre mustafa sallal laahu alaihi wa sallam NAYA KAPDA "JUMA" ke din pehna karte the.
(aljamius sageer jild no,2 safa no,208)

7) Jannatiyo ko sabse bada inaam jannat me JUMA ke din milega or wo inaam ALLAH ka deedar h.
(fatawa razviyah jild,29 safa no,187 khulasa)

8) Hadees - HUZOOR sallal laahi alaihi wa sallam ne irshad farmaya......

Jo shakhs JUMA ke din SURE AL-IMRAAN ki tilawat karta hai raat tak uske liye firshte duaen karte rehte hai.
(sunan daarmi jild no,2 hadees,3397)

Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

ILM-e-DEEN

1, pyare nabi ne farmaya......
Bande ke liye behtareen sadqa ye hai ke wo
Ilm-E-deen seekhe or dusro ko sikhae.
(bustanul aarifeen 'mutarjim' safa no,30)



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

AULIYA ALLAH - ALLAH KE WALI

1, hadees - gaeb janne wale NABI ne farmaya.......

ALLAH ke WALYO se apni jaan pehchan rakha karo,
Wali se qareeb ho jaya karo,
Is liye ke jis wali se tum qareeb ho jaoge
Wo wali qayamat ke din tumhari SHAFA'AT karwaega.
(musnadul firdaos jild no,1 hadees no,2051)



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

HARAM KAMAI - HARAM MAAL

1, hadees - jis shakhs ne gunah ke zarye (haraam) maal kamaya,
Allah us shakhs ko us maal ke sath jahannam me daal dega,

Fir chahe wo us maal ko allah ki raah me hi Q na kharch karta ho tab bhi.
(maraseel abu daud safa no,9)

2) Manqool hai....
Bani aadam (kisi bhi insan) ne agar HARAAM ka luqma(niwala) khaya to jab tak wo luqma uske pet me rahega tab tak
Zameen or asmaan ka har firishta us par laanat karega.
Or agar use haalat me mar gaya to uska thikana jahannam hoga.
(mukashifatul quloob page no,10)

3) Hadees - sache MUSTAFA ne farmaya......
Haram ka ek luqma(niwala) khane se 40 din tak ki NAMAZ or DUA qabool nahi ki jaati.
(kanzul ummal 4/13)


Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

NIKAH

1, hazrat aisha razi allahu anha se riwayat hai ke MUSTAFA kareem ne farmaya.......

Sabse barkat wala nikah wo hai jisme kharch kam se kam ho.
(musnad ahmad hadees no,24529)



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

MUSALMANO KE SATH ACHA YA BURA SULOOK KARNA

1, hadees - kisi musalman ka dil khush karna INSAN & JINNAT ki eibadat se behtar hai.
(mirqatul mafateeh 8/748)

2, hadees - jisne kisi musalman ke raaste se koi takleef dene wala cheez hatai (jaise patthar, keechad, kachra, badbu paida karne wali chize etc)
To ALLAH KAREEM uske naama-E-amaal me ek neki likh dega.
Or allah us neki ke badle use jannat me daakhil farma dega.
(al-badoorul saafirah fee-ahwaalil aakhirah safa no,617)

3, hadees - NABI e KAREEM ne farmaya.....

Us zaat ki qasam jiske qabze qudrat me meri jaan h(yani allah ki qasam)
ALLAH TA'ALA sirf raheem(dusronpar rahem karne wale insan) ko hi apni rehmat se nawazega,

Sahab ikraam ne puchha ya rasool allah kya hum sab raheem hai???

Huzoor ne jawab me irshad farmaya.......
Raheem wo nahi jo apni ap or apne ghar walo par rahem kare......
Balke raheem wo hai jo tamam musalmano par rahem kare.
(shobul eiman jild no,7 hadees no,11059)


4, hadees - jisne achhi tarha WAZU kiya or fir sawab ki ummid ke sath kisi BEEMAR MUSALMAN ki iyadat ki.......
Allah use jahnnam se 70 saal ki musafat tak door farma dega.
(abu daud shareef  jild no,3 hadees no,3097)


5, hadees - pyare NABI ne farmaya........
Tumhara apne BHAI (khoon ke rishte ka bhai ho ya eiman ke rishte se tumara musalman bhai use) dekh kar MUSKURANA SADQAH hai.
(jaame tirmizi jild,3 hadees,1963)


6, Hadees sabse acha musalman - humare nabi ne farmaya........
Sabse afzal/acha/behtar musalman wo hai jiske ZABAN or HAATH se dusre musalman mehfooz rahe.
(bukhari sharif jild no,1 kitabul eiman)

7, hadees - ek musalman ka KHOON/murder karna ya uska maal hadap lena ya uski kisi bhi taraha be-izzati karna dusre musalman ke liye HARAAM GUNAH hai.
(muslim sharif  hadees no,2564)


8, hadees - pyare NABI ne tamam musalmano ko mukhatab karte huwe irshad farmaya.....

Aapas me nafrat na karo,
Ek dusre se hasad na karo(yani dil me ek dusre ke liye burai mat rakho)
Ek dusre se rushte mat todo.
Ek dusre se peeth na phero(yani ek dusre ko dekh chehre mat pher lo balke unse mahobbat se mel milap karo)

Fir farmaya........... AEALLAH KE BANDO
Aapas me bhai bhai ban jao,
Kisi musalman ke liye 3 raat se zyada apne bhai ko chhode rakhna halaal nahi(yani 3 din se zyada kisi musalman ke liye dusre musalman se baat chit band rakhna jaiz nahi)
>muslims shareef  hadees no,2558<


9, Hadees - NABI kareem sallal laahu alaihi wa sallam ne irshad farmaya.....
Jo musalman kisi dusre musalman bhai ki kisi zarurat ko pura karne ke liye gaya ALLAH paak uske HAR QADAM ke badle uske 70 gunah muaf farma deta hai or uske nama-e amaal me 70 nekiya likh deta hai,,,,,,

Or agar usne khud apne haatho se uski zarurat ko pura kiya to ALLAH kareem use gunaho se aise paak farma deta hai jaise MAA ke pet se paida hone wala bacha gunaho se paak hota hai,,,,,,,

Or agar zarurat pura karte karte mar jaae to ALLAH use bigair hisab ke jannat me daakhil farma dega.
(deen O dunya ki anokhi baate jild no,1 safa no,259)

10,
Hadees - 3 kaam aise hai jinhe karne se qayamat ke din ALLAH humare mukhalif hoga (yani jiske khilaf allah ho use jahannam me jana pakka hai)

Humare nabi ne farmaya wo 3 kaam ye hai.

1) koi shakhs ALLAH ke naam se koi AHED kare (waada kare/qasam khae) or use pura na kare.
2) dusra wo shakhs jisne kisi azaad insan ko bech diya(human trafficking ki).
3) tisra wo shakhs jisne kisi ko mazduri par rakha (naukri par rakha) usse pura kaam liya or use uski mazduri na di.
>bukhari sharif. hadees no,2227<


Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

SHOHAR KE HUQOOQ

1, hadees - humare NABI se puchha gaya......
Aorto me ACHHI AORAT kon hai???

Pyare nabi ne jawab me irshad farmaya.......
Wo aorat jiska shohar uski taraf jab dekhe tk wo uske shohar ke liye KHUSHI ki WAJAH bane,
Jab uska shohar koi khuwahish kare to wo apne shohar ki khuwahish ko pura kar de,
Or jis chiz ko uska shohar pasand nahi karta chahe wo baat biwi se judi huwi ho ya maal(paise se) to wo aorat apne shohar ki un mamlome mukhalifat (againts) na kare.
(musnad ahmad hadees no,9600)



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

AGARBATTI YA LUBAN/LOBAN WAGERA KI DHOONI

DARGAHO YA GHARO YA MASJID O QABRISTAN ME AGARBATTI OR LOBAN KI DHUNI KARNA

1) hazrat UMAR FAROOQ har JUMA ko masjide abavi me khushbu ki DHOONI kiya karte the.
(musnad abi yaala jild no,1 hadees no,185)



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

AMAANAT

1, MUHAMMAD kareem ne farmaya.....
Beshak jo amaanat daar nahi uska koi DEEN(mazhab) nahi.
(al-bahruz Zakkhaar bimasnadil bizaar jild no,3 hadees no,819)



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

ZABAN KA ISTEMAL

1) pyare MUSTAFA sallal laahu alaihi wa sallam se sahab ne puchha.
Ya rasool allah nijaat kisme(kis chiz me) hai?
Huzoor ne jawab me irshad farmaya......

Apni zaban ko buri baate kehne se roke rakho (isi me nijat h).
(tirmizi shareef jild no,4  hadees no,2414)

2) Hadees - sache MUSTAFA ne farmaya.....

Ibne aadam (insan) ki akasar KHATAE(galtiya) uski zabaan se sarzad hoti hai.
(at-targeeb wat-tarheeb jild no,3 page no,342)

Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

BID-AT PAR TABSIRAH az qalam ASAD raza ullah qadri shafaee

.....Bidat ki haqeeqat.....

*Bid'at (بدعت):*

*Bid'at ke lagvi meaning:*

 *nayi cheez*. Jis tarah Quraan irshad farmata hai:
*قل ما كنت بدعا من الرسل.*
Farma do ke mai naya Rasool nahi Hu.

Nez Allah tala farmata hai:
*بديع السموات والأرض.*
Asmano zameen Ka ejad krne wala.

Bid'at ye lafz *بدعه* se mansoob hai.  Jis Ka matlb *_ejad Karna, naya banana_* hai.

*Bid'at ke sharaee meaning:*
Vo aitaqaad (اعتقاد) ya vo amaal (اعمال) jo ke Huzoor ke zamane hayate zahiri me nahi the, baad me ejad hue.

*Bid'at ki meaning hadees ki roshni me:*

*وَفِي الشَّرْعِ إِحْدَاثُ مَا لَمْ يَكُنْ فِي عَهْدِ رَسُولِ اللَّهِ - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ. (مرقاة شرح مشكوة للامام ملا على القارى عليه الرحمة / فتاوى حديثية للامام ابن حجر هيثمي عليه الرحمة  / اشعة اللمعات شرح مشكوة للامام عبد الحق دهلوى عليه الرحمة / تهذيب الاسماء وللغات للامام النووى عليه الرحمة ).*

Tarjuma: Bid-at har wo kaam hai jo Zamanae Risalat me na tha (Baad me aya).

Nateeja ye nikla ke bid'at e sharaee ki do qisme hai.
1) Bid'at e aitaqaadi (بدعت اعتقادى).
2) Bid'at e amali (بدعت عملى).

Insha Allah, is ki tafseel aage pesh hogi.


*قَالَ الْعُلَمَاءُ الْبِدْعَةُ خَمْسَةُ أَقْسَامٍ وَاجِبَةٌ وَمَنْدُوبَةٌ وَمُحَرَّمَةٌ وَمَكْرُوهَةٌ وَمُبَاحَةٌ (شرح مسلم شريف ، للامام النووى عليه الرحمة / فتح البارى شرح بخارى للامام ابن حجر عسقلانى عليه الرحمة  ).*

Tarjuma: Ulema farmate hai Bid-at ki 5 qisme hai. Wajib / Mandoob / Haram / Makrooh / Mubaha.

*Asl mafhoom:*
Bid'ut ki 2 qisme:
1- Bid'at e aetaqadi - Jo mukammal galat. (Bajaye un aqeedo ke jo taqleed ke daire me ate hai.)
2- Bid'at e umali - jis me aur 2 shamil kiye gaye:
A- bid'at e hasana- aisi bid'ut jo acchi ho. ( Mandooba, mubaha, vajiba).
B- bid'at e sayyiah- aisi bid'ut jo gumrahi ho. (Makrooha, muharrima).

*Insha Allah is ki misale aage pesh hongi.*

Najdi is hadees par zara gaor kare, jo baar baar ek hi rut lagate hai:
*کل بدعة ضلاله.*
Tarjuma: hur bid'at gumrahi hai.

Agr har bid'at is hadees ki roo se gumrahi hai, to phir is tarah bid'ut ko 5 hisso me taqseem krne Ka kya maqsad.
Sabit hua, hadees to sahi hai, lekin najdi is se be khabar hai. Is hadees me hur vo bid'at gumrahi hai, jis ki nisbat galat raah par ho.
Varna, najdi khud is me buri tarah phans sakta hai, ke us ne bhi aaj deen o dunya me aisi cheeze ejad ki hai, ke apne hi jaal me phans sakta hai, aur khud bid'ati sabit ho sakta hai.


*حَدَّثَنَا يَعْقُوبُ، حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ سَعْدٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنِ القَاسِمِ بْنِ مُحَمَّدٍ، عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا، قَالَتْ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَنْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هَذَا مَا لَيْسَ فِيهِ، فَهُوَ رَدٌّ» ( بخارى شريف ، كتاب الصلح / مسلم شريف ، كتاب الاقضية).*

Hadees: Mustafa ne Irshad Farmaya, Jisne is Deen me aisa kaam shuru kiya jiski (Asl) deen me nahi, to wo kaam mardood hai.

Mundarija baala hadees ke mafhoom se sabit hua, ke bid'at e mardood ke liye 2 cheezo Ka hona shart hai.

*مَنْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هَذَا مَا لَيْسَ فِيهِ، فَهُوَ رَد*
1) vo cheez nayi ho.
2) vo cheez _deen me se na_ ho.

Is hadees se aur pichli hadees ne bilkul vazeh kr diya, ke bid'ut ke liye sharait ko pakadna zaroori hai. Varna Mustafa
 *(ماليس فيه)*
Farma kr bid'at ke matlab ko alihida na farmate, bulki seedhe seedhe bid'at ko bid'at hi bol kar mardood farma dete.

*Mustafa Ka use alahida pesh krna bid'at e hasana ko sabit karta hai.*


*فَقَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَنْ سَنَّ فِي الْإِسْلَامِ سُنَّةً حَسَنَةً، فَلَهُ أَجْرُهَا، وَأَجْرُ مَنْ عَمِلَ بِهَا بَعْدَهُ، مِنْ غَيْرِ أَنْ يَنْقُصَ مِنْ أُجُورِهِمْ شَيْءٌ، وَمَنْ سَنَّ فِي الْإِسْلَامِ سُنَّةً سَيِّئَةً، كَانَ عَلَيْهِ وِزْرُهَا وَوِزْرُ مَنْ عَمِلَ بِهَا مِنْ بَعْدِهِ، مِنْ غَيْرِ أَنْ يَنْقُصَ مِنْ أَوْزَارِهِمْ شَيْءٌ» (مسلم شريف ، حديث نمبر 1017).*

*Mafhoome Hadees:*

Mustafa ne Irshad Farmaya, Jisne Islam me koi Achcha Tariqa *SHURU* kiya, To use uska sawab milega. Aur use bhi sawab milega jo uspar amal karega. Aur shuru karne wale ka sawab kam na hoga.

Aur jo islam me bura tariqa shuru karega, to uspar uska gunah sabit hoga. Aur use bhi gunah hoga Jo uspar amal karega. Aur shuru karne wale ke gunah me koi kami na hogi.

Muslim shareef ki is hadees e paak ne bid'ut ki 2 qismo ko sabit kar diya.

١) *سُنَّةً حَسَنَةً* - اچھا کام۔
٢) *سُنَّةً سَيِّئَةً* - برا کام۔

Ab Najdi kya bahana karega, ke *har bid'at gumrahi hai.*

Aisa bilkul bhi nahi. * balke Hur MARDOOD(buri) bid'at gumrahi hai.*


*كل بدعة ضلاله (مسلم شريف)*
Har Bid'at gumrahi hai. ( *Asl meaning*)

Agr najdi is baat ka dawa kare, ke Muslim shareef se sabit hua hai, ke har bid'at gumrahi hai, phir vo kaisi bhi ho. Acchi ya buri. To vo mundarija bala ahaadees ke baare me kya kahta hai?

١) *وَحَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، وَأَبُو كُرَيْبٍ، وَإِسْحَاقُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ، جَمِيعًا عَنْ وَكِيعٍ، قَالَ أَبُو كُرَيْبٍ: حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنِ ابْنِ أَبِي خَالِدٍ، وَمِسْعَرٍ، وَالْبَخْتَرِيِّ بْنِ الْمُخْتَارِ، سَمِعُوهُ مِنْ أَبِي بَكْرِ بْنِ عُمَارَةَ بْنِ رُؤَيْبَةَ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، يَقُولُ: «لَنْ يَلِجَ النَّارَ أَحَدٌ صَلَّى قَبْلَ طُلُوعِ الشَّمْسِ، وَقَبْلَ غُرُوبِهَا» - يَعْنِي الْفَجْرَ وَالْعَصْرَ -، " فَقَالَ لَهُ رَجُلٌ مِنْ أَهْلِ الْبَصْرَةِ: آنْتَ سَمِعْتَ هَذَا مِنْ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ؟ قَالَ: نَعَمْ، قَالَ الرَّجُلُ: وَأَنَا أَشْهَدُ أَنِّي سَمِعْتُهُ مِنْ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، سَمِعَتْهُ أُذُنَايَ، وَوَعَاهُ قَلْبِي " (مسلم شريف ، حديث نمبر 634)*

Mafhoome Hadees: Mustafa ne Irshad Farmaya, Use jahannam ki aag hargiz na chuegi jisne Fajr aur Asr ki namaaz ada ki.

Khulasae kalam: Mustafa ke is irshad me bhi agarche umoomiyat paayi jaati hai, magar haq yahi hai ke ye bhi apne umoom par nahi bulke isme bhi tashkees hai.


۲) *حَدَّثَنَا هُدْبَةُ بْنُ خَالِدٍ، قَالَ: حَدَّثَنَا هَمَّامٌ، حَدَّثَنِي أَبُو جَمْرَةَ، عَنْ أَبِي بَكْرِ بْنِ أَبِي مُوسَى، عَنْ أَبِيهِ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «مَنْ صَلَّى البَرْدَيْنِ دَخَلَ الجَنَّةَ» (بخارى شريف ،حديث نمبر 574)*

Mafhoome Hadees: Mustafa ne Irshad Farmaya, Jisne 2 Thandi namaaze ( *Fajr aur Asr*) ada ki wo jannat me jayega.

Khulasae kalam: Ye hadees sharif bhi sabiqa hadeese pak ki tarah hai. Agarche ke umoomiyat rakhti hai, magar haqiqat me apne umoom par nahi.

Jisne sirf Fajr aur Asr ada ki, magar Zohar, Magrib aur Isha na parhi, kya wo Jannat me jayega ?

- *bilkul bhi nahi.*
To kya naooz billah ye hadees galat hai?
Aisa nahi hai. Balki is hadees e paak me 2 namazo ko makhsoos kiya gaya, aur us par focus kiya gaya. Varna agar hadees directly as it is le li jaye, to har koi, 2 hi namaze padhega aur apne aap ke jannati hone ka dawa karega. Lekin aisa nahi hai. Hadees paak me :

*مَنْ صَلَّى البَرْدَيْنِ دَخَلَ الجَنَّة*
Apne asl meaning me nahi hai.

Thik isi tarah, ooper ki hadees me:
*كل بدعة ضلاله*
Apne asl matlab me nahi, balki umoomi hai.


*حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ قَالَ: حَدَّثَنَا أَبُو عَاصِمٍ قَالَ: حَدَّثَنَا حَيْوَةُ بْنُ شُرَيْحٍ قَالَ: أَخْبَرَنِي أَبُو صَخْرٍ، قَالَ: حَدَّثَنِي نَافِعٌ، أَنَّ ابْنَ عُمَرَ جَاءَهُ رَجُلٌ فَقَالَ: إِنَّ فُلَانًا يَقْرَأُ عَلَيْكَ السَّلَامَ، فَقَالَ لَهُ: إِنَّهُ بَلَغَنِي أَنَّهُ قَدْ أَحْدَثَ، فَإِنْ كَانَ قَدْ أَحْدَثَ فَلَا تُقْرِئْهُ مِنِّي السَّلَامَ، فَإِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: «يَكُونُ فِي هَذِهِ الأُمَّةِ أَوْ فِي أُمَّتِي - الشَّكُّ مِنْهُ - خَسْفٌ أَوْ مَسْخٌ أَوْ قَذْفٌ فِي أَهْلِ القَدَرِ»: هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ.(ترمذى شريف ، حديث نمبر 2152).*

Mafhoome Hadees: Sayyedana Abdullah Ibne Omar se kisi ne kaha, Fula shakhs ne aapko salam kaha hai. Unhone kaha mujhe khabar pahunchi hai ke wo Bid-ati ho gaya hai. Agar wo Bid-ati ho gaya ho to mera salaam use nahi pohchana.

Maine suna ke Mustafa ne Irshad Farmaya, Is ummat me *Qazaf/khasaf/masakh* (Azaab) hoga taqdeer ka inkaar karne walo par.

Is hadeese pak se Bid'at ki haqeeqat vazeh ho jati hai.

Dekho isme Bid'at ka bhi Zikr hai aur kis wajeh se Bid'ati ban gaya uska bhi zikr hai.

*Kya us shakhs ne Milad mana shuru kiya? Ya urs karna ? Ya fateha dena ? Ya Azaan se pehle durud parhna? Ya quraan khwani karna?*

Agar nahi to phir wo Bid'ati kaise ban gaya? Jitne umoor hamne oopar bayan kiye hai unka Ta-alluk amaal se hai. Aur jis ki bunyaad par Bid-ati hone ki baat is hadeese pak me hai uska Ta-alluk Aqeede se hai.

Isiliye Sayyedana Abdullah ne farmaya ke Bid'ati isliye ban gaya ke *usne apna Aqeeda badal diya*. _*Wo Taqdeer ka inkari ho gaya.*_

Sabit huwa ke Bid'at Dar asl aqeede me naya pan hai. Jo aqeeda sahaba, Tabaeen, Tabae-tabaeen aur Fuqahae Deen ka hai wahi Deen hai aur jo iske khilaaf hai wahi Bid'at hai.

Ab Najdi, sirf amal ko dekh kar hum par bid'at ka fatwa na lagaye.

Najdi khud bid'ati hai. Kyu ki us ne hi, bid'at e aitaqaadi ko qaim kiya hai.
*Huzoor sirf bashar hai.*
*Huzoor ko ilme gaib nahi.*
*Huzoor be ikhtiyar majboor hai.*
*Huzoor hazir o nazir nahi.*
*نعوذ بالله من ذلك.*
Etc etc.

*What you created, actually that is invention (bid'at), not what we do.*


*أَصْلُ الْأَشْيَاءِ الْإِبَاحَةُ. (مرقاة شرح مشكوة للامام ملا على القارى عليه الرحمة/ تفسير نسفي / تفسير قرطبي / تفسير خازن / تفسير روح البيان/ أشعة اللمعات شرح مشكوة للامام الشاه عبد الحق محدث دهلوى عليه الرحمة).*

*Tarjama:* Aslan har cheez Mubah hai  (Jab tak shariat mana na kare).

 *أن الفعل يدل على الجواز، وعدم الفعل لا يدل على المنع. (مواهب اللدنية للامام قسطلانى عليه الرحمة/ فتح البارى شرح بخارى للامام ابن حجر عسقلانى عليه الرحمة).*

*Tarjama:* Kisi kaam ka karna uske jawaz ki daleel hota hai. Aur kisi kaam ka na karna uske mana  (Prohibition - منع) ki daleel nahi hota.

*عدم النقل لا ينفى الوجود ( فتح القدير للامام ابن الهمام عليه الرحمة).*

*Tarjama:* Kisi cheez ka zikr na karna uske wajood ki nafi nahi hota.

*Khulasae kalam:* Fuqhae Islam ki tafseer se ye sabit huwa ke aslan har shai(cheez) mubah hai jab tak shariat mana na kare.

Hurmat ke liye daleele sharaee zaroori hai. Lihaza najdiyon ka umoore mustahab ko Bid'at kehkar Haram qarar dena, Shariat ke bunyadi usoolo ke khilaaf hai.

Ab khud najdi hi soche, ke jise vo bid'at kahta hai. Asl me vo bid'at hai bhi ya nahi.


*مَا آتَاكُمُ الرَّسُولُ فَخُذُوهُ وَمَا نَهَاكُمْ عَنْهُ فَانتَهُوا وَاتَّقُوا اللَّهَ إِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ. (سورة الحشر ٧).*

*Tarjuma:* Rasool jo de use lo aur jisse roke usse ruk jao aur Allah se daro. Beshak Allah ka azaab sakht hai.

Quran ki is ayut e kareema se ek baat Sabit ho gayi. Agar najdi, kisi kaam ke karne ki daleel maange to use chahiye ke vo us kaam ke na karne par bhi vaisi authentic daleel de, jis tarah ki daleel Ka vo mutalib hai.
*Huzoor ki ata aam hai. Jab baat halal ki ho, to us ke liye daleel zaroori nahi albatta agar koi cheez ko na jaiz ya haram batana ho to daleel zaroori hai.
Jis tarah, mundarja ayat e kareema:

*وَقُلْنَا يَا آدَمُ اسْكُنْ أَنتَ وَزَوْجُكَ الْجَنَّةَ وَكُلَا مِنْهَا رَغَدًا حَيْثُ شِئْتُمَا وَلَا تَقْرَبَا هَٰذِهِ الشَّجَرَةَ فَتَكُونَا مِنَ الظَّالِمِينَ. (سورة البقرة ٣٥).*

*Tarjama:* Aur hamne aadam se kaha, Tu aur teri biwi jannat me reh. Aur usme jo chaho khawo magar is ped ke qareeb na jana ke nuqsaan walo me se ho jawoge.

Is ayat e kareema, me jaiz kaam ko umoomiyat se pesh kiya, bazahir perticularly naam le le kar pesh nahi kiya gaya, lekin jab baat na jaiz aur galat kaam ki ayi to, bazahir naam le kar use mana kiya gaya.

In dono ayato se chand baate sabit hui.
1) Huzoor ki ata aam hai, aur mana khaas.
2) Agr jawaz ke saboot me daleel ki zaroorat hai, to na jawaz ke liye bhi daleel deni padegi.
3) Jaiz hone ke liye, daleel ki zaroorat nahi. Na jaiz hone ke liye daleel ki zaroorat hai.

*Ab najdi asl aur authentic dalail se, eid e meelad, fatiha, 11vi vagera ko bid'at, najaiz ya haram Sabit kar de. Buss.* Phir hum se jawaz ki daleel le.


*وَعَنِ ابْنِ شِهَابٍ، عَنْ عُرْوَةَ بْنِ الزُّبَيْرِ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَبْدٍ القَارِيِّ، أَنَّهُ قَالَ: خَرَجْتُ مَعَ عُمَرَ بْنِ الخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، لَيْلَةً فِي رَمَضَانَ إِلَى المَسْجِدِ، فَإِذَا النَّاسُ أَوْزَاعٌ مُتَفَرِّقُونَ، يُصَلِّي الرَّجُلُ لِنَفْسِهِ، وَيُصَلِّي الرَّجُلُ فَيُصَلِّي بِصَلاَتِهِ الرَّهْطُ، فَقَالَ عُمَرُ: «إِنِّي أَرَى لَوْ جَمَعْتُ هَؤُلاَءِ عَلَى قَارِئٍ وَاحِدٍ، لَكَانَ أَمْثَلَ» ثُمَّ عَزَمَ، فَجَمَعَهُمْ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ، ثُمَّ خَرَجْتُ مَعَهُ لَيْلَةً أُخْرَى، وَالنَّاسُ يُصَلُّونَ بِصَلاَةِ قَارِئِهِمْ، قَالَ عُمَرُ: «نِعْمَ البِدْعَةُ هَذِهِ، وَالَّتِي يَنَامُونَ عَنْهَا أَفْضَلُ مِنَ الَّتِي يَقُومُونَ» يُرِيدُ آخِرَ اللَّيْلِ وَكَانَ النَّاسُ يَقُومُونَ أَوَّلَهُ.(بخارى شريف ، حديث نمبر 2010)*

*Mafhoome Hadees:* Sayyedana Umar ne Tarawih Ba jamat ko dekh kar Farmaya, Ye kitni achchi Bid'at hai.

*Khulasae kalam:* Namaze Taravih ki jamat ka dawam mustafa ke daur me na tha. Sayyedana umar ne iski shuruwat ki. Aapne use achchi bid'at kaha.

Is hadees e paak ne Bid'at e hasana ko sabit kar diya.
Varna sayyedina Umar
*نِعْمَ البِدْعَةُ هَذِهِ، وَالَّتِي يَنَامُونَ عَنْهَا أَفْضَلُ مِنَ الَّتِي يَقُومُون*
Is tarah farma kar, us bid'at ko accha na kehte, balki. Nisbat acche kaam se krte. Lekin saaf saaf, kaha *ye acchi bid'at hai.*

Ab najdi ko aur kya daleel chahiye, ke bid'at e hasana bhi koi cheez hai.

Hamara meelad manana, fatiha krna, 11vi krna, grche bid'at ho. *Lekin ye bid'at e hasana (acchi bid'at) hai.


*حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ دَاوُدَ بْنِ صَبِيحٍ، حَدَّثَنَا الْفَضْلُ بْنُ دُكَيْنٍ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدٌ يَعْنِي ابْنَ شَرِيكٍ الْمَكِّيَّ، عَنْ عَمْرِو بْنِ دِينَارٍ، عَنْ أَبِي الشَّعْثَاءِ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ: «كَانَ أَهْلُ الْجَاهِلِيَّةِ يَأْكُلُونَ أَشْيَاءَ وَيَتْرُكُونَ أَشْيَاءَ تَقَذُّرًا،» فَبَعَثَ اللَّهُ تَعَالَى نَبِيَّهُ، صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَأَنْزَلَ كِتَابَهُ، وَأَحَلَّ حَلَالَهُ، وَحَرَّمَ حَرَامَهُ، فَمَا أَحَلَّ [ص: ٣٥٥] فَهُوَ حَلَالٌ، وَمَا حَرَّمَ فَهُوَ حَرَامٌ، وَمَا سَكَتَ عَنْهُ فَهُوَ عَفْوٌ " وَتَلَا {قُلْ لَا أَجِدُ فِيمَا أُوحِيَ إِلَيَّ مُحَرَّمًا} إِلَى آخِرِ الْآيَةِ. (أبو داؤد شريف ، حديث نمبر 3800، صحيح حديث ).*

*Mafhoome Hadees:* Mustafa  ne Irshad Farmaya, Allah Ta-ala ne apne Nabi par Quraan nazil kiya. Halal ko halal aur haram ko haram qarar diya. Aur jiska zikr nahi kiya wo muaaf hai.

Is Hadees se sabit huwa ke jis kaam ke halal ya haram hone par daleel na ho wo kaam mubah (Jaiz) hai. Shar-an aise kaamo par pakad nahi hogi.

*Ehkaame Amr (Do's): Farz / Wajib /  Muak-kida / Gair Muak-kida / Mustahab/ Mubah.*

*Ehkaame Nahi (Don'ts): Haram / Tehrimi / Usaat / Tanzihi / Khilaafe Awla.*

*Farz / Wajib* Amr ki Top class hai. Ye bagair daleel ke sabit nahi hote.

Isi tarah *Haram*, Nahi ki Top class hai, ye bhi bagair daleel sabit nahi hota.

Agr najdi, hamari niyazo, sheerni, aur baqiya umoor ko haram kehta ho, to use us ki daleel deni hi padegi.
Yaha tak ke, agar na jaiz bhi kahta ho, tab bhi, use daleel deni hogi. Kyu ki hadees e paak ne sabit kar diya, ke jis ka zikr nahi vo maaf hai. Zahir hai, use explain karne ki zaroorat nahi.
Agar najdi ko Quraan o hadees me fatiha, niyaz meelad, 11vi Ka nishan nahi milta to ab najdi khamosh hi rahe, kyu ki agar zikr nahi to mubaah hai, jis ke karne par koi rok nahi. Aur agar mil jaye, to bata de. Kyu ki ye hamara challenge hai. Najdi, taa qayamat meelad, fatiha, niyaz, sheerni ko haram ya na jaiz sabit hi nahi kar sakta. *Insha Allah.*



*فَقَالَ مُعَاذٌ: لَا أَرَاهُ عَلَى حَالٍ إِلَّا كُنْتُ عَلَيْهَا، قَالَ: فَقَالَ: إِنَّ مُعَاذًا، قَدْ سَنَّ لَكُمْ سُنَّةً، كَذَلِكَ فَافْعَلُوا...(ابوداؤد شريف ، صحيح حديث ، نمبر 506)*

*Mafhoome Hadees:* Sayyedana Muaaz ne kaha, Mai jis haal me Rasoolallah ko dekhunga usi haal me namaaz shuru karunga.
*(Note: Ek Taweel hadees shareef ka hissa zikr kiya gaya hai).*

*Khulasae kalam:* Shuru me sahaba jitni namaaz faut huwi hoti (Jamat me deri se shamil hone ki wajeh se) wo ada karte yaha tak ke wo Mustafa ke saath shamil hote.

Sayyedana muaaz ne ye kiya ke wo jis haal me Mustafa ko pate wahi se namaaz shuru karte. Aur jitni faut huwi hoti, wo baad me ada karte.

Sayyedana Muaaz ke is naye tariqe ko mustafa ne jab mulahiza kiya to Irshad Farmaya, Muaaz ne tumhare liye achcha tariqa shuru kiya hai. Ab tum aisa hi kiya karo. Aaj tak ummat isi tariqe par amal kar rahi hai.

Waajeh ho ke, Sayyedana muaaz ne wo kaam shuru kiya jiske karne ki Quraan wa hadees me koi sarahatan daleel na thi. Phir bhi Mustafa ne unke kaam ko saraha.

Zahir si baat hai, jub Huzoor Namaz padha rahe hai, aur sahaba Namaz padh rahe hai, to Namaz farz hi hogi. Phir sayyedina Maaz ne bina Huzoor se pooche farz namaz me dakhal kyu kiya?

Najdi bol sakta hai.
*Vo to sahabi the, hum sub quroon e salasa tuk ko sahi mante hai aur unke raste par chalte hai, to sahabi ka karna hamare liye daleel hai.*
Is Ka jawab yu hoga:
_Agar che hum quroon e salasa ko mante hai, lekin jub saamne Huzoor ki zaat ho to Huzoor bazahir daleel hai. Aur quroon e salasa ki baat Huzoor ke baad hi hogi._

Lekin chunke ke sahabi e Mustafa jante the, ke acche kaam ki bunyaad kya hai, aur bure kaam ki jad kya hai.

Isi tarah, hamara meelad,11vi krna choonke farz nahi, lekin Imaan me mazbooti lane ka zariya hai... So hum vo karte hai.


*Chund zaroori bate hadeeso ki roshni me:*

*حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مَسْلَمَةَ، عَنْ مَالِكٍ، عَنْ نُعَيْمِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ المُجْمِرِ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ يَحْيَى بْنِ خَلَّادٍ الزُّرَقِيِّ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ رِفَاعَةَ بْنِ رَافِعٍ الزُّرَقِيِّ، قَالَ: " كُنَّا يَوْمًا نُصَلِّي وَرَاءَ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَلَمَّا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنَ الرَّكْعَةِ قَالَ: سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ "، قَالَ رَجُلٌ وَرَاءَهُ: رَبَّنَا وَلَكَ الحَمْدُ حَمْدًا كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيهِ، فَلَمَّا انْصَرَفَ، قَالَ: «مَنِ المُتَكَلِّمُ» قَالَ: أَنَا، قَالَ: «رَأَيْتُ بِضْعَةً وَثَلاَثِينَ مَلَكًا يَبْتَدِرُونَهَا أَيُّهُمْ يَكْتُبُهَا أَوَّلُ» (بخارى شريف ،حديث نمبر 799).*

*Mafhoome Hadees:* Mustafa ki Iqtida me Namaaz ada karte huwe ek sahabi ne jab ruku se sar uthaya to Kuch Duwaaiya alfaz kahe. Jab namaaz khatam huwi to Mustafa ne poocha " Kisne wo kalimaat kahe the ? Maine dekha 30 se zyada farishto ko, wo lapke the ke kaun pehle unko likhe.

Namaaz kaise parhni chahiye ? Mustafa ka farman hai :
*صلوا كما رأيتمونى اصلى* *(بخارى شريف).*
*Tarjuma:* Namaaz parho jaisa mujhe dekhte ho parhte huwe.

Maloom huwa ke namaaz ka tariqa muta-ayyan hai. Koi apni marzi se kuch nahi kar sakta.

Aisi muta-ayyan ibadat me bhi Sahabi ne wo amal kiya jo Quraan ya hadees se sabit na tha. Magar chunke achcha tha isiliye Mustafa ne use saraha.

*Ek aur hadees mulahiza ho:*

*حَدَّثَنَا زُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ، حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ ابْنُ عُلَيَّةَ، أَخْبَرَنِي الْحَجَّاجُ بْنُ أَبِي عُثْمَانَ، عَنْ أَبِي الزُّبَيْرِ، عَنْ عَوْنِ بْنِ عَبْدِ اللهِ بْنِ عُتْبَةَ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: بَيْنَمَا نَحْنُ نُصَلِّي مَعَ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذْ قَالَ رَجُلٌ مِنَ الْقَوْمِ: اللهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا، وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا، وَسُبْحَانَ اللهِ بُكْرَةً وَأَصِيلًا، فَقَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مِنَ الْقَائِلُ كَلِمَةَ كَذَا وَكَذَا؟» قَالَ رَجُلٌ مَنِ الْقَوْمِ: أَنَا، يَا رَسُولَ اللهِ قَالَ: «عَجِبْتُ لَهَا، فُتِحَتْ لَهَا أَبْوَابُ السَّمَاءِ» قَالَ ابْنُ عُمَرَ: «فَمَا تَرَكْتُهُنَّ مُنْذُ سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ ذَلِكَ» (مسلم شريف ، حديث نمبر 601).*

*Mafhoome Hadees:* Mustafa ki Iqtida me Namaaz ada karte huwe Takbeere Tehrima ke waqt ek sahabi ne chand alfaz kahe. Mustafa ne Irshad Farmaya, Ye kalimaat kisne kahe ? Un sahabi ne arz kiya maine ya Rasoolallah.

Mustafa ne Irshad Farmaya, Maine dekha unke liye aasmaan ke darwaze khol diye gaye.

Pichle point me aapne mulahiza kiya ke namaaz ka tariqa mustafa se sabit hai. Koi ise change nahi kar sakta.

Aisi muta-ayyan ibadat me bhi Sahabi ne wo amal kiya jo Quraan ya hadees se sabit  nahi tha. Phir bhi Mustafa ne uski tareef ki.

*Ek aur hadees mulahiza ho:*

*عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، كَانَ رَجُلٌ مِنَ الأَنْصَارِ يَؤُمُّهُمْ فِي مَسْجِدِ قُبَاءٍ، وَكَانَ كُلَّمَا افْتَتَحَ سُورَةً يَقْرَأُ بِهَا لَهُمْ فِي الصَّلاَةِ مِمَّا يَقْرَأُ بِهِ افْتَتَحَ: بِقُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ حَتَّى يَفْرُغَ مِنْهَا، ثُمَّ يَقْرَأُ سُورَةً أُخْرَى مَعَهَا، وَكَانَ يَصْنَعُ ذَلِكَ فِي كُلِّ رَكْعَةٍ، فَكَلَّمَهُ أَصْحَابُهُ، فَقَالُوا: إِنَّكَ تَفْتَتِحُ بِهَذِهِ السُّورَةِ، ثُمَّ لاَ تَرَى أَنَّهَا تُجْزِئُكَ حَتَّى تَقْرَأَ بِأُخْرَى، فَإِمَّا تَقْرَأُ بِهَا وَإِمَّا أَنْ تَدَعَهَا، وَتَقْرَأَ بِأُخْرَى فَقَالَ: مَا أَنَا بِتَارِكِهَا، إِنْ أَحْبَبْتُمْ أَنْ أَؤُمَّكُمْ بِذَلِكَ فَعَلْتُ، وَإِنْ كَرِهْتُمْ تَرَكْتُكُمْ، وَكَانُوا يَرَوْنَ أَنَّهُ مِنْ أَفْضَلِهِمْ، وَكَرِهُوا أَنْ يَؤُمَّهُمْ غَيْرُهُ، فَلَمَّا أَتَاهُمُ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَخْبَرُوهُ الخَبَرَ، فَقَالَ: «يَا فُلاَنُ، مَا يَمْنَعُكَ أَنْ تَفْعَلَ مَا يَأْمُرُكَ بِهِ أَصْحَابُكَ، وَمَا يَحْمِلُكَ عَلَى لُزُومِ هَذِهِ السُّورَةِ فِي كُلِّ رَكْعَةٍ» فَقَالَ: إِنِّي أُحِبُّهَا، فَقَالَ: «حُبُّكَ إِيَّاهَا أَدْخَلَكَ الجَنَّةَ» (بخارى شريف ،كتاب الآذان).*


*Mafhoome Hadees:* Masjide Quba ke Imam har Raka-at me Surae Ikhlas  (قل هوالله احد) tilawat karte. Phir koi doosri surat parhte. Muqtadiyo ne aiteraz kiya ke aisa na karo. Unhone maanne se inkaar kiya.

Logo ne Mustafa se shikayat ki. Mustafa ne Irshad Farmaya, unse poocho wo aisa kyu karte hai ? Unse poocha gaya. Kaha, mai is sura se Muhabbat karta hoon.

Mustsfa ne suna to Irshad Farmaya, isse tumhari muhabbat tumhe jannat me dakhil karegi.

Pichli 2 riwayato ki tarah is hadees se bhi aisa kaam sabit hota hai jo na Quraan se sabit tha nahi wo tariqae mustafa tha. Phir bhi Mustafa ne uspar amal karne wale ko jannat ki basharat di.

Jab namaaz ka ye aalam hai to Namaaz ke bahar achcha kam Bid-at kaise ho sakta hai?

*Sabit ho chuka,  agar koi kaam Quraan ya hadees se sarahatan sabit na ho, magar wo achcha ho to kiya jayega. Wo bid-at nahi.*


*أَخْبَرَنَا أَحْمَدُ بْنُ جَعْفَرٍ الْقَطِيعِيُّ، ثنا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ حَنْبَلٍ، حَدَّثَنِي أَبِي وَأَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ، قَالَا: ثنا أَبُو بَكْرِ بْنُ عَيَّاشٍ، ثنا عَاصِمٌ، عَنْ زِرٍّ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ: «مَا رَأَى الْمُسْلِمُونَ حَسَنًا فَهُوَ عِنْدَ اللَّهِ حَسَنٌ، وَمَا رَآهُ الْمُسْلِمُونَ سَيِّئًا فَهُوَ عِنْدَ اللَّهِ سَيِّءٌ، وَقَدْ رَأَى الصَّحَابَةُ جَمِيعًا أَنْ يَسْتَخْلِفُوا أَبَا بَكْرٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ» هَذَا حَدِيثٌ صَحِيحُ الْإِسْنَادِ (المستدرك للامام حاكم عليه الرحمة/ مقاصد الحسنة للامام سخاوى عليه الرحمة).*

*Mafhoome Hadees :* Sayyedana Abdullah ibne Masood riwayat karte hai, Jis kaam ko musalman achcha samajhe, wo kaam Allah ke nazdeek bhi achcha hai.

*Khulasae kalam:* Milaad, Eisaale sawab, Durud-o-salaam... etc ye sab kaam poori ummat me sadiyon se chale aarahe hai.

Alame islam ke bade bade mufassireen,  Muhadditheen aur fuqahae Deen ne is par amal kiya. Aaj un amaal ko agar koi Bid-at kahe to yaqinan is sahi Hadees ke khilaaf hai.

Ab najdi ko chahiye ke vo kisi kaam ko bura/na jayez/ haram kahne se pahle pukhta  daleel pesh kare, kyu ki hum sabit kar chuke hai ke bid'at asal me kise kahte hai.

الصلاة والسلام عليك يا رسول الله.
الله اعلم ثم رسول الله أعلم.

Monday, 15 January 2018

Saturday, 13 January 2018

SABSE PEHLE (GREAT KNOWLEDGE)

1, sabse pehle SABUN (bath soap) hazrat SULEMAN alaihis salaam ne banaya.
(deen wo dunya ki anokhi baate jild no,1 safa no,177)

2, sabse pehle geebat karne wala shaitan hai,
Jisne AADAM alaihis salaam ki geebat ki thi.
(roohul bayan jild no,9 safa no,89)

3, sabse pehle SATTU(chane se banne walanek khas aata) hazrat ZILQARNAIN(jinka zikr quran me bhi aya h) ne banaya tha.
(deen wo dunya ki anokhi baate jild no,1 safa no,177)

4, sabse pehle moti(موٹی) roti NAMROOD(ibrahim alaihis salam ke zamane ka islam ka dushman badshah tha usne) banai.
(deen wo dunya ki anokhi baate jild no,1 safa no,177)



Taalib-e dua: maulana imtesal razvi shafaee

ZAKAAT

1, farman-E-madni aaqa.....
Zakaat islam ka pul (bridge) hai.
(shobul eiman jild no,3 hadees no,3310)

GUSSA (anger)

1) hadees - kainat ke sabse knowledgeable insan mere nabi MUHAMMAD MUSTAFA ne ek marta sahaba se daryaft farmaya.......

Batao ke tum log PAHELWAN (taaqat wala) kise samajhte ho???
Sab Sahaba ne kaha use samjhte hai jise log kushti (fight) me hara na sake.

Ye sun kar pyare mustafa ne farmaya......

Nahi aisa nahi hai balke pahelwan wo hai
Jo GUSSE ke waqt NAFS par (yani khud par)  QABU RAKHTA ho.
(sabu daood hadees no,4779)


2) hadees - hazrat abdullah ibne amr farmate hai.....
ek martaba humare NABI se ek shakhs ne daryaft farmaya (means puchha) ke.......

ya RASOOL ALLAH konsi chiz hai jo mujhe allah ke gazab se bacha sakti hai???

Humare NABI ne jawab me irshad farmaya.
Tum (logo par) GUSSA na kiya karo (ALLAH ke gazab se bach jaoge)
>muslan ahmad jild no,2 hadees no,6646)


3) hadees - humare nabi ne farmaya........
Jo shakhs dunya me apne GUSSE par qabu rakhega ALLAH use qayamat ke din apne AZAAB se door rakhega.
(shobul eiman jild no,6 hadees no,8311)

Taalib-e dua : imtesal razvi shafaee

PET BHAR KHANA

1, rasool-E-khuda ne ek martaba ek shakhs ki DIKAAR(belching) sun kar usse farmaya......
Apni DIKAAR (ki awaaz) ko KAM KAR is liye ke qayamat ke din sabse zyada bhooka wo hoga jo dunya me pet bhar ke khata tha.
(tirmizi shareef jild no,4 hadees no,2486)

RISHTE DARO SE ACHA BURA SULOOK

1, nabi-E-kareem ne farmay......
Jo shakhs ye chahta ho ke ALLAH uska rizq badha de or uski umr bhi lambi kar de to use RISHTEDARO se ACHA sulook karna chahiye (yani rishtedaro se axha sulook karne par allah rizq bhi badha deta hai or umr bhi lambi farma deta hai)
(bukhari shareef jild no,2 hadees no,2067)

HASAD(dusro se jalne) KI MAZAMMAT

Dusro se hasad karne wala(dusro se dil me jalan rakhne wala) shakhs jahannam me SUWAR (pig) ki shakl me jaaega.
(tambeehul muta-arreen safa 194)

JHOOT BOLNE KI MAZAMMAT

1, jhoot bolne wala shakhs jahannam me KUTTE ki shakl me jaega.
(tambeehul muta-arreen safa 194)

GEEBAT KI MAZAMMAT

1, geebat karne wala jahannam me BANDAR (monky) ki shakl me jaega.
(tambeehul muta-arreen safa 194)

AYATAL KURSI KI FAZEELAT

jo shakhs sote waqt AYATAL KURSI padh le to subha tak ALLAH us
 shakhs ki hifazat farmaega or shaitan uske qareeb bhi na aa sakega.
(bukhari shareef jild no,3 hadees no, 5010)