Saturday, 14 November 2015

Noorani Nabi ﷺ



HUZOOR  KA KHUBSOORAT CHEHRA

1, hazrat abu hurairah razi allhu anhu farmate hai ke...

HUZOOR  ka rang itna ZYADA GORA tha ke lagta tha HUZOOR  ka jism mubarak CHAANDI ME DHAAL KAR BANAYA GAYA HO. subhan allah
(tirmizi shareef)

2, hazrat ka'ab bin maalik razi allahu anhu farmate hai ke...

HUZOOR  jab KHUSH hote to huzoor  ka chehra mubarak aisa lagta tha jaise CHAAND KA TUKDA. subhan allah
(bukhari shareef)

3, hazrat abu hurairah razi allahu maola farmate hai ke....

Maine HUZOOR  se ZYADA KHOOBSURAT DUNYA ME KISIKO NAHI DEKHA unke chehre ko dekh kar aisa lagta tha ke HUZOOR  ke CHEHRE me CHAAND CHAL RAHA HO. subhan allah
(tirmizi shareef)

4, hazrat ibne abbas razi allahu ta'aala farmate hai ke....

HZOOR e PAAK  ka SAAYA (shadow) NAHI THA kiyun ke Huzoor jab bhi kisi CHIRAG (deeya) ya SOORAJ ke saamne khade hote to HUZOOR  ka NOOR (raoshni) chirag or sooraj ki RAOSHNI PAR GAALIB AA JATA. subhan allah
(zarqaani)

5, hazrat anas bin maalik razi allahu anhu farmate hai ke....

HUZOOR NABI e KAREEM  ka rang mubarak BAHOT SAAF GOORA THA isi liye jab HUZOOR  ke CHEHRE par PASEENA AATA to wo paseene ki boonde bilkul MOTI KI TARHA CHAMAKTI THI. subhan allah
(muslim shareef)

6, HUZOOR  ki sabse chhoti or chahiti zavjah (bivi) or hum tamam musalmano ki MAA hazrat AISHA razi allhu anha farmati hain ke

Ek martaba maine HUZOOR RASOOL e REHMAT  ko dekha ke HUZOOR  ki PESHANI mubarak par paseena aa raha tha or us paseene ki boondo se NOOR ki KIRAN (ujala) PHOOT RAHI THI. subhan allah
(khaatib)

7, momino ki maa hazrat aisha (radhi'alla ta'ala anha) farmati hain ke....

Huzoor  ke noor ka ujala kuch aisa hota tha ke mai...

Andheri raat me bina chirag ke sirf huzoor  ki noor ki raoshni me sui (needle) me dhaga pura leti thi.  Subhan allah
(shara shifa)

8, hazrat ali murtuza irshad farmate hai ke...
Jab kabhi bhi NABI e AKRAM  kuch irshad farmate the to HUZOOR  ke mubarak DAANTO ke bich se noor ki raoshniya phoot-ti thi. subhan allah (mawahubul ladunyah)

9, hazrat Hind bin abi haala razi allahu anhu irshad farmate hai ke....

HUZOOR  ka CHEHRA chaodhwi ke CHAAND ki tarha SUHANA THA. subhan allah.
(shamaail tirmizi)

10, Ek sahabi ke bete ne ek dusre sahabi hazrat mu'aaz bin ufra se puchha.

HUZOOR  kaise dikhte the??? Wo sahabi e rasool ne jawab me farmaya ke bete suno jab Allah ke Rasool  hamare saamne aate the tab ka manzar kuch aisa SUHANA hota tha ke..

HUZOOR  ko dekh kar lagta tha ke jaise SUBHA ka SOORAJ UGG (nikal) raha hai. subhan allah
(daarmi)

11, hazrat jaabir bin samrah razi allahu anhu farmate hai ke....

Ek martaba maine CHANDNI RAAT me huzoor  ki bargah me haazir tha or us din chand chawdhwi ka tha (yani chand pura tha) to mai KABHI CHAAND KO DEKHTA or KABHI HUZOOR KO DEKHTA or isi tarha bar bar dekhte huwe ye faisla karne ki kosish karta tha ke chaand or huzoor  me khoobsurat kaon hai???

Fir aakhir meri nazro ne ye faisla kiya ke mere NABI  CHAAND SE BHI KHOOBSURAT hai. subhan allah
(tirmizi & daarmi)

12, hazrat abu huraira razi allahu ta'aala farmate hai ke: Maine dunya me koi bhi chiz HUZOOR  se khubsoorat nahi dekhi, huzoor  ko dekh kar aisa lagta tha ke HUZOOR  ke CHEHRE me SOORAJ TAYER (swim) RAHA ho. subhan allah

Taalib-e-Dua: Imtesal Razvi Shafaee


No comments:

Post a Comment