NABI-e PAAK ﷺ ne farmaya ke "HAR GIZ(yani kisi bhi haal me) kisi ko GAALI MAT
DO." (abu dawood)
2, NABI-e-KAREEM ﷺ ne ek martaba SAHABA se farmaya ke "wo shakhs bahot BADA GUNAH karta h jo APNE WALIDAIN(maa baap) ko GAALI deta h"
Is baat ko sun kar sahaba ne hairat se puchha: "ya RASOOL ALLAH ﷺ bhala kaon insan apne maa baap ko gaali dega?"
Humare nabi ﷺ ne jawab me irshad farmaya: "Agar koi shakhs kisi ke maa baap ko gaali de to ye aisa hi hai ke USNE APNE HI MAA BAAP KO GAALI DI. allahu akbar. (bukhari shareef)
3, HUZOOR ﷺ ne irshad farmaya ke "Jisne MAA BAAP ko GAALI DIYA uske sar par jahanaam me itni zyada aag barsai jaegi jitni ke zameen par baarish barsai jaati hai". allahu akbar. (muslim shareef)
4, HUZOOR REHMAT-e-AALAM ﷺ ne farmaya ke "Kisi musalman ko GAALI DENA FISQ h (yani be deeni ki baat h)" (bukhari shareef)
5, HUZOOR ﷺ ne farmaya ke "2 log jab aapas me gaali galoch karte h to DONO ka gunah us shakhs par hota hai JISNE GAALI DENA PEHLE SHURU KIYA THA." allhu akbar. (Muslim shareef)
6, RAB ke PYARE RASOOL ﷺ ne farmaya ke "banda zaban se ek baat keh deta hai or sochta nahi ke wo baat kitni kufr ya kitni buri lagne wali (GAALI) hai... Fir usi baat ki wajah se banda JAHANNAM ki gehraai me itna andar kir jata h jitna ke mashriq se magrib door h(yani jitna ke dunya ke ek kone se dusra kona door h)." allhu akbar. (bukhari shareef)
7, MADNI RASOOL ﷺ ne farmaya ke "Qayamat ke din ALLAH ki nazar me bad-tareen insan wo hoga Jiski bad-zabani (yani GAALI GALOCH) ki wajah se dunya me log usse door bhaagte ho." allahu akbar. (bukhari shareef)
8, kainat me SABSE AZEEM HASTI janab-e MUHAMMAD-UR RASOOL ALLAH ﷺ ne irshad farmaya ke "Beshak wo bahot bura insan hai jiski bad zubani(GAALI GALOCH se bachne ke liye log uski izzat karte ho." (abu dawood)
9, MERE NABI ﷺ irshad farmate hai ke "jo aurat apne SHOHAR se bad- zabani karti(yani gali galoch ya kisi bhi tarha ka bura bhala kehti) ho, allah us aorat ki NEKI QABOOL NAHI FARMATA." allahu akbar. (tehzeebul islam)
10, PYARE MADNI AAQA ﷺ ne ek martaba MUNAFIQ ki NISHANI bayan karte huwe farmaya ke "MUNAFIQ (yani zaban se khud ko musalman kehne wala magar dil se musalman na ho aise logo ki) NISHANI ye hai ke wo ladai (fight) karenge to GAALI GALOCH par utar aenge." (bukhari shareef)
11, DO JAHANO ke TAAJ WAALE NABI ﷺ ne MOMIN (yani dil se pakke musalman) ki NISHANI bayan karte huwe farmaya ke:"MOMIN kabhi GAALI GALOCH karne wala nahi ho sakta." subhana allah. (tirmizi shareef)
12, ALLAH ke MEHBOOB ﷺ ne farmaya ke "Gaaliya dene wala halakat or barbadi ke bilkul qareeb hai." allahu akbar. (tibrani)
13, ek martaba ek shakhs MUSTAFA JAAN-e REHMAT ﷺ ki baargah me haazir ho kar arz kiya: Ya RASOOL ALLAH ﷺ mujhe kuchh wasiyat farmaiye
HUZOOR ﷺ ne farmaya: "KABHI KISI CHIZ KO GAALI MAT DENA." (musnad aehmad)
Taalib-e-Dua: Imtesal Razvi Shafaee
No comments:
Post a Comment