Hadees-e-Jibrail: Hazrat Umar razi allahu anhu ne farmaya "ek din hum (yani sahaba)
NABI PAAK ﷺ ki khudmat me hazir the k achanak ek
aadmi haazir huwa jise hum sahaba me se koi nahi janta tha (yani wo us ilaqe ka
nahi tha pehli baar nazar aya tha) aur na hi uske badan par koi safar ki nashani
thi aur uske kapde bahot safed the aur baal nihayat kaale the (yani uske kapde aur baal me koi dhool mitti wagera nahi thi k jise dekh kar lagta ke ye kahin door
se safar kar ke aya h).
wo NABI PAAK ﷺ ke saamne ja kar do zaanu (yani jis tarha namaz ke tashah hud me
bathte h waise) baith gaya aur apne guthne HUZOOR ﷺ ke guthno se mila diye aur apne
dono haath apni raano (maandi) par rakh liye (jaise tashah hud me rakhte h) aur fir arz ki(puchha).
YA MUHAMMAH ﷺ MUJHE ISLAM SAMJHAIYE ke islam kya
hai?
Huzoor ﷺ ne jawab me farmaya- islam ye hai ke tum in baato ko mano.
1, gawahi do ke ALLAH KE SIWA KOI IBADAT KE LAIQ NAHI or MUHAMMAD ﷺ ALLAH KE RASOOL HAIN
2, NAMAZ PADHO
3, ZAKAT DO
4, RAMZAN KE ROZE RAKHO
5, Aur jab istetat (haisyat) ho HAJJ KARO
us shakhs ne ye sun kar (is andaz me ke pehle se ye sab janta tha) huzoor se
arz kiya YA RASOOL ALLAH ﷺ AAPNE SACH KAHA.
hazrat umar farmate h hume ta'ajjub huwa ke ye shakhs khud hi sawal karta h aur khud hi tasdik karta h (jaisa k pehle se janta tha k jawab kya h).
Phir us shakhs ne dobara huzoor ﷺ se puchha k.
YA MUHAMMAD ﷺ imaan ke bare me bhi samjhaiye?
Huzoor ﷺ ne farmaya: eimn in baato ko dil se manne ko kehte h.
1, ALLAH par YAQEEN rakho.
2, allah ke TAMAM AMBIYA par yaqeen rakho.
3, allah ki utaari huwi TAMAM KITABON par yaqeen rakho.
4, allah ke TAMAM FIRISHTON par yaqeen rakho.
5, QAYAMAT ke DIN par yaqeen rakho.
6, ACHHI or BURI TAQDEER (qismat) par yaqeen rakho.
Phir wo shakhs huzoor ﷺ se rukhsati le kar chala gaya.
Uske jaane k bad sahaba ikraam ne huzoor se puchha YA RASOOL ALLAH ﷺ ye kon
shakhs tha?
Huzoor ﷺ ne farmaya: ye allah k muqarrab or firishto k sardar HAZRAT JIBRAEEL
alaihis salaam the or wo yaha TUMHE TUMHARA DEEN SAMJHANE AE THE. Subhan'Allah.
*** Muslim Shareef ***Talib-e-Dua: Imtesal Razvi Shafaee
Haq h imam Sahab .👍👍👍
ReplyDelete