Sunday, 22 November 2015

GAALIYA DENA HADEES KI RAOSHNI ME



NABI-e PAAK  ne farmaya ke "HAR GIZ(yani kisi bhi haal me) kisi ko GAALI MAT DO." (abu dawood)

2, NABI-e-KAREEM 
 ne ek martaba SAHABA se farmaya ke "wo shakhs bahot BADA GUNAH karta h jo APNE WALIDAIN(maa baap) ko GAALI deta h"

Is baat ko sun kar sahaba ne hairat se puchha: "ya RASOOL ALLAH 
 bhala kaon insan apne maa baap ko gaali dega?"

Humare nabi 
 ne jawab me irshad farmaya: "Agar koi shakhs kisi ke maa baap ko gaali de to ye aisa hi hai ke USNE APNE HI MAA BAAP KO GAALI DI. allahu akbar. (bukhari shareef)

3, HUZOOR 
 ne irshad farmaya ke "Jisne MAA BAAP ko GAALI DIYA uske sar par jahanaam me itni zyada aag barsai jaegi jitni ke zameen par baarish barsai jaati hai". allahu akbar. (muslim shareef)

4, HUZOOR REHMAT-e-AALAM 
 ne farmaya ke "Kisi musalman ko GAALI DENA FISQ h (yani be deeni ki baat h)" (bukhari shareef)

5, HUZOOR
  ne farmaya ke "2 log jab aapas me gaali galoch karte h to DONO ka gunah us shakhs par hota hai JISNE GAALI DENA PEHLE SHURU KIYA THA." allhu akbar. (Muslim shareef)

6, RAB ke PYARE RASOOL
  ne farmaya ke "banda zaban se ek baat keh deta hai or sochta nahi ke wo baat kitni kufr ya kitni buri lagne wali (GAALI) hai... Fir usi baat ki wajah se banda JAHANNAM ki gehraai me itna andar kir jata h jitna ke mashriq se magrib door h(yani jitna ke dunya ke ek kone se dusra kona door h)." allhu akbar. (bukhari shareef)

7, MADNI RASOOL
  ne farmaya ke "Qayamat ke din ALLAH ki nazar me bad-tareen insan wo hoga Jiski bad-zabani (yani GAALI GALOCH) ki wajah se dunya me log usse door bhaagte ho." allahu akbar. (bukhari shareef)

8, kainat me SABSE AZEEM HASTI janab-e MUHAMMAD-UR RASOOL ALLAH
  ne irshad farmaya ke "Beshak wo bahot bura insan hai jiski bad zubani(GAALI GALOCH se bachne ke liye log uski izzat karte ho." (abu dawood)

9, MERE NABI 
 irshad farmate hai ke "jo aurat apne SHOHAR se bad- zabani karti(yani gali galoch ya kisi bhi tarha ka bura bhala kehti) ho, allah us aorat ki NEKI QABOOL NAHI FARMATA." allahu akbar. (tehzeebul islam)

10, PYARE MADNI AAQA
  ne ek martaba MUNAFIQ ki NISHANI bayan karte huwe farmaya ke "MUNAFIQ (yani zaban se khud ko musalman kehne wala magar dil se musalman na ho aise logo ki) NISHANI ye hai ke wo ladai (fight) karenge to GAALI GALOCH par utar aenge." (bukhari shareef)

11, DO JAHANO ke TAAJ WAALE NABI
  ne MOMIN (yani dil se pakke musalman) ki NISHANI bayan karte huwe farmaya ke:"MOMIN kabhi GAALI GALOCH karne wala nahi ho sakta." subhana allah. (tirmizi shareef)

12, ALLAH ke MEHBOOB  ne farmaya ke "Gaaliya dene wala halakat or barbadi ke bilkul qareeb hai." allahu akbar. (tibrani)

13, ek martaba ek shakhs MUSTAFA JAAN-e REHMAT
  ki baargah me haazir ho kar arz kiya: Ya RASOOL ALLAH  mujhe kuchh wasiyat farmaiye
HUZOOR  ne farmaya: "KABHI KISI CHIZ KO GAALI MAT DENA." (musnad aehmad)


Taalib-e-Dua: Imtesal Razvi Shafaee



Saturday, 14 November 2015

Mere Rasool ﷺ Murde bhi Jilate The





hadees e paak me aata hai ke HUZOOR  ne ek shakhs ko islam qabool karne ki daawat di...

To usne kaha mai qabool nahi karunga...

Huzoor  ne daryaft farmaya(puchha) KIYUN NAHI KAROGE (kya koi aisi baat hai jo tumhari liye NAMUMKIN ho or mai use kar ke dikha du to tum eiman le ao or musalman ban jao???)

To us shakhs ne kaha ke agar tum sache nabi ho to mujhe MOJZA DIKHAO...

HUZOOR  ne daryaft farmaya ke kya mojza dekhna chahte ho???

Us shakhs ne kaha ke meri BETI ka kuch dino pehle intiqal ho chuka hai use dafnaya gaya hai kya....
to ae MUHAMMAD  agar tum meri murda beti ko firse zinda kar ke dikha do to mai musalman ho jaunga...

Huzoor  ne farmaya thik hai chalo mujhe apni bachi ki qabr par le chalo...

Sab qabr k pas pahonche aur huzoor  ne qabr ki taraf dekha or us bachi ko uske naam se awaz di...

To qabr me se bachi ne pukar kar kaha ya RASOOL ALLAH  MAI HAAZIR HU aur ya rasool gawahi deti hu ke dunya ki saari SA'ADATE AAPKE LIYE hai.

fir NABI PAAK  ne farmaya: ae bachi kya tu dunya me wapas ana chahti hai???

To bachi ne qabr me se pukar kar kaha... ya RASOOL ALLAH .....
KHUDA KI QASAM maine Allah ko apne haqq me apne maa baap se behtar or aakhirat ko dunya se behtar paya hai... Lihaza mai dunya me wapas aana nahi chahti. (Subhan allah) (Qustalani & zarqani⁠⁠)

Ek martaba Nabi-e-Rehmat  ko hazrat Jaabir razi allahu anhu ne apne ghar par khane ki dawat di. Mere NABI ﷺ use qabool farmaya aur hazrat Jaabir ke ghar pahonche to hazrat Jaabir ne request ki ke: Ya RASOOL ALLAH ﷺ aap ko dawat me BAKRA khilana hai, lihaza HUZOOR ﷺ aap hi apne mubarak hatho se wo bakra ZABAH farma dijye.

Humare pyare AAQA ﷺ ne chhuri haath me li or bakra zabah kiye us ke baad HUZOOR ﷺ hazrat Jaabir ke ghar me aa kar baith gae aur bahar fir hazrat Jaabir ki aehliya us bakre k gosht ko pakane me lag gain.

Lekin hazrat Jaabir ke do BACHE (2 ladke jo abhi chhote the) wo bakre ko zabah karte dekh kar use ek tarha ka khel(game) samajh kar khud bhi wo khelne chale gae.

Ek bacha bakra bana aur dusre ne usko giraya aur uski gardan par chhuri chala di. ALLAHU AKBAR. fir kya tha bache ki SHEH RAG KAT GAI aur bacha wahin tadap tadap kar INTIQAL ho gaya.

Ab jab chhuri chalane wale dusre bache ko ehsas huwa k shayad koi galati ho gai h aito use kuch sujhai na diya aur wo apne ghar ki chhat par chadh kar kood gaya aur usne bhi apne jaan gawan di yani hazrat Jaabir ke dono bache FAOT ho gaye.

Jab bacho ki MAA bahar nikli aur dono bacho ko murda dekhin to, Maa thi kya karti.

ALLAHU AKBAR kaisa imtehan tha ye Allah ka ke ghar me ALLAH ke MEHBOOB  ki dawat hai jis dawat ka intizam is maa ko hi karna hai aur us maa ke Ek(1) nahi Do(2) masoom bache faot ho gae.

Akhir kaar maa ne ALLAH ki bargah me is imtihan me PASS hone ki thaani aur ye soch kar ke ye khabar agar kisi ko bhi pata chali to gam ka mahool chha jaega aur Rasool-e-Aazam  ki dawat me khalal aajaega. Is khayal se is maa ne bacho ke abbu yani hazrat Jaabir ko bhi nahi bataya.

Aur chupke se dono bacho ki LAASH (dead body) ko kapde me lapet kar chhupa diya aur khud khana pakane me lag gayi.

Fir jab khana tayyar huwa to hazrat Jaabir ko awaz di. Hazrat Jaabir ne Pyare NABI ﷺ ke saamne khana parosa.

Abhi khana laga rahe the ke RASOOL ULLAH ﷺ ne puchh liya "Ae JAABIR, TUMHARE BACHE KAHA HAI?" Hazrat Jaabir apni bivi ke pas gaye aur puchha dono bache kaha hai? RASOOL ULLAH ﷺ puchh rahe hai.

Haaaaaaaiiiiii kya guzra hoga us maa ke kaleje par dil to chaha hoga ke shohar ke daman ko lipat kar phoot phoot kar roe. Magar fir wohi khayal aya ke mere rasool ki dawat na kharab ho jae is khayal se kehne lagin. bache hai kahi khelne gae honge bahar.

Oyyyy hooooyyyy kya muhabbat thi apne RASOOL ﷺ se.........

Khair... hz,jabir HUZOOR ﷺ ke pas pohche aur wohi kaha k bache khelne gae honge aa jaenge ya RASOOL ALLAH  aap khana tanaul farmaiye.......

Mere rab pe mai qurban.... ALLAH ne usi waqt apne Rasool ﷺ ko hukm bheja "ae MERE MEHBOOB ﷺ tab tak ek luqma bhi NA khana jab tak bache na aa jae." hz,jaabir ko allah ke nabi ﷺ ne ye hukme khudawand suna diye......

hz,jaabir dobara apni aehliya ke paas ponhche or kaha ke jao bacho ko dhoond kar le kar lao unke bigaer Huzoor ﷺ khana nahi kahenge........

Ab hz,jaabir ki aehliya roone lagi aur roote roote sara majra (qissa) sunaya or bacho ki laashe dikhai....

bacho ki laashe le kar hz,jaabir bhi roote huwe Huzoor ﷺ ke paas ponhche aur bacho ki laasho ko saamne rakh diya. Hamare Pyaare  Rasool ﷺ ne dekha to aapne faoran apne rab ki bargah me haath uthae aur duwa farmai aur apna pyare pyare haatho ko bacho ki laasho par pherne lage.

Abhi MUSTAFA JAAN-e-REHMAT ﷺ ke haath lage hi the ke dekhte hi dekhte dono bacho me DOBARA JAAN BHI LAOT AI or UNKE ZAKHM BHI THIK HO GAE. Subhan Allah.
(mishkat shareef)

Taalib-e-Dua: Imtesal Razvi Shafaee



Noorani Nabi ﷺ



HUZOOR  KA KHUBSOORAT CHEHRA

1, hazrat abu hurairah razi allhu anhu farmate hai ke...

HUZOOR  ka rang itna ZYADA GORA tha ke lagta tha HUZOOR  ka jism mubarak CHAANDI ME DHAAL KAR BANAYA GAYA HO. subhan allah
(tirmizi shareef)

2, hazrat ka'ab bin maalik razi allahu anhu farmate hai ke...

HUZOOR  jab KHUSH hote to huzoor  ka chehra mubarak aisa lagta tha jaise CHAAND KA TUKDA. subhan allah
(bukhari shareef)

3, hazrat abu hurairah razi allahu maola farmate hai ke....

Maine HUZOOR  se ZYADA KHOOBSURAT DUNYA ME KISIKO NAHI DEKHA unke chehre ko dekh kar aisa lagta tha ke HUZOOR  ke CHEHRE me CHAAND CHAL RAHA HO. subhan allah
(tirmizi shareef)

4, hazrat ibne abbas razi allahu ta'aala farmate hai ke....

HZOOR e PAAK  ka SAAYA (shadow) NAHI THA kiyun ke Huzoor jab bhi kisi CHIRAG (deeya) ya SOORAJ ke saamne khade hote to HUZOOR  ka NOOR (raoshni) chirag or sooraj ki RAOSHNI PAR GAALIB AA JATA. subhan allah
(zarqaani)

5, hazrat anas bin maalik razi allahu anhu farmate hai ke....

HUZOOR NABI e KAREEM  ka rang mubarak BAHOT SAAF GOORA THA isi liye jab HUZOOR  ke CHEHRE par PASEENA AATA to wo paseene ki boonde bilkul MOTI KI TARHA CHAMAKTI THI. subhan allah
(muslim shareef)

6, HUZOOR  ki sabse chhoti or chahiti zavjah (bivi) or hum tamam musalmano ki MAA hazrat AISHA razi allhu anha farmati hain ke

Ek martaba maine HUZOOR RASOOL e REHMAT  ko dekha ke HUZOOR  ki PESHANI mubarak par paseena aa raha tha or us paseene ki boondo se NOOR ki KIRAN (ujala) PHOOT RAHI THI. subhan allah
(khaatib)

7, momino ki maa hazrat aisha (radhi'alla ta'ala anha) farmati hain ke....

Huzoor  ke noor ka ujala kuch aisa hota tha ke mai...

Andheri raat me bina chirag ke sirf huzoor  ki noor ki raoshni me sui (needle) me dhaga pura leti thi.  Subhan allah
(shara shifa)

8, hazrat ali murtuza irshad farmate hai ke...
Jab kabhi bhi NABI e AKRAM  kuch irshad farmate the to HUZOOR  ke mubarak DAANTO ke bich se noor ki raoshniya phoot-ti thi. subhan allah (mawahubul ladunyah)

9, hazrat Hind bin abi haala razi allahu anhu irshad farmate hai ke....

HUZOOR  ka CHEHRA chaodhwi ke CHAAND ki tarha SUHANA THA. subhan allah.
(shamaail tirmizi)

10, Ek sahabi ke bete ne ek dusre sahabi hazrat mu'aaz bin ufra se puchha.

HUZOOR  kaise dikhte the??? Wo sahabi e rasool ne jawab me farmaya ke bete suno jab Allah ke Rasool  hamare saamne aate the tab ka manzar kuch aisa SUHANA hota tha ke..

HUZOOR  ko dekh kar lagta tha ke jaise SUBHA ka SOORAJ UGG (nikal) raha hai. subhan allah
(daarmi)

11, hazrat jaabir bin samrah razi allahu anhu farmate hai ke....

Ek martaba maine CHANDNI RAAT me huzoor  ki bargah me haazir tha or us din chand chawdhwi ka tha (yani chand pura tha) to mai KABHI CHAAND KO DEKHTA or KABHI HUZOOR KO DEKHTA or isi tarha bar bar dekhte huwe ye faisla karne ki kosish karta tha ke chaand or huzoor  me khoobsurat kaon hai???

Fir aakhir meri nazro ne ye faisla kiya ke mere NABI  CHAAND SE BHI KHOOBSURAT hai. subhan allah
(tirmizi & daarmi)

12, hazrat abu huraira razi allahu ta'aala farmate hai ke: Maine dunya me koi bhi chiz HUZOOR  se khubsoorat nahi dekhi, huzoor  ko dekh kar aisa lagta tha ke HUZOOR  ke CHEHRE me SOORAJ TAYER (swim) RAHA ho. subhan allah

Taalib-e-Dua: Imtesal Razvi Shafaee


Wednesday, 11 November 2015

ISLAM aur EIMAN



Hadees-e-Jibrail: Hazrat Umar razi allahu anhu ne farmaya "ek din hum (yani sahaba) NABI PAAK   ki khudmat me hazir the k achanak ek aadmi haazir huwa jise hum sahaba me se koi nahi janta tha (yani wo us ilaqe ka nahi tha pehli baar nazar aya tha) aur na hi uske badan par koi safar ki nashani thi aur uske kapde bahot safed the aur baal nihayat kaale the (yani uske kapde aur baal me koi dhool mitti wagera nahi thi k jise dekh kar lagta ke ye kahin door se safar kar ke aya h).

wo NABI PAAK  ke saamne ja kar do zaanu (yani jis tarha namaz ke tashah hud me bathte h waise) baith gaya aur apne guthne HUZOOR  ke guthno se mila diye aur apne dono haath apni raano (maandi) par rakh liye (jaise tashah hud me rakhte h) aur fir arz ki(puchha).

YA MUHAMMAH  MUJHE ISLAM SAMJHAIYE ke islam kya hai?

Huzoor  ne jawab me farmaya- islam ye hai ke tum in baato ko mano.

1, gawahi do ke ALLAH KE SIWA KOI IBADAT KE LAIQ NAHI or MUHAMMAD  ALLAH KE RASOOL HAIN
2, NAMAZ PADHO
3, ZAKAT DO
4, RAMZAN KE ROZE RAKHO
5, Aur jab istetat (haisyat) ho HAJJ KARO

us shakhs ne ye sun kar (is andaz me ke pehle se ye sab janta tha) huzoor se arz kiya YA RASOOL ALLAH  AAPNE SACH KAHA.

hazrat umar farmate h hume ta'ajjub huwa ke ye shakhs khud hi sawal karta h aur khud hi tasdik karta h (jaisa k pehle se janta tha k jawab kya h).

Phir us shakhs ne dobara huzoor  se puchha k.

YA MUHAMMAD  imaan ke bare me bhi samjhaiye?

Huzoor  ne farmaya: eimn in baato ko dil se manne ko kehte h.
1, ALLAH par YAQEEN rakho.
2, allah ke TAMAM AMBIYA par yaqeen rakho.
3, allah ki utaari huwi TAMAM KITABON par yaqeen rakho.
4, allah ke TAMAM FIRISHTON par yaqeen rakho.
5, QAYAMAT ke DIN par yaqeen rakho.
6, ACHHI or BURI TAQDEER (qismat) par yaqeen rakho.

Phir wo shakhs huzoor  se rukhsati le kar chala gaya.
Uske jaane k bad sahaba ikraam ne huzoor se puchha YA RASOOL ALLAH  ye kon shakhs tha?

Huzoor  ne farmaya: ye allah k muqarrab or firishto k sardar HAZRAT JIBRAEEL alaihis salaam the or wo yaha TUMHE TUMHARA DEEN SAMJHANE AE THE. Subhan'Allah.
*** Muslim Shareef ***

Talib-e-Dua: Imtesal Razvi Shafaee