MEHMAN AUR MEZBAN HADEES KI RAOSHNI ME
Aaj ke is fast forward daor me log Mehman ka ghar aana bura samajhte hai aur ek musalman ke liye ye bade sharm ki baat hai.kyu ki humare Pyaare Nabi mehman ko Rehmat samajhte the aur hum zehmat samajh kar Nabi ke tareeqe se door hote ja rahe hai.
Ab aiye hum is topic se jude chand ahadees par nazar daalte hai.
1, humare NABI ne farmaya ke.....
Mehman ke ghar par aane se KHAIR(yani allah ki REHMATE o BARKATE) jaldi aati hai. subhan allah
> ibne maaja
2, HUZOOR alaihis salaam ne irshad farmaya ke....
MEHMAN NAWAZI(yani mehman ki khidmat karna) 3 din tak hai(yani 3 din tak sunnat ke lihaz se mehman ka haq hai).....
uske baad SADQA hai(yani 3 din ke bad mehman ki khidmat karne se ALLAH ki raah me sadqa karne ka sawab milta hai).
>abu dawod shareef
3, MUSTAFA KAREEM ne farmaya ke.......
MEHMAN NAWAZI to 3 din hai,,,,,
Lekin jitni mehman nawazi laazim(zaroori) hai utni to karo hi.
Sahaba ne puchha yaRASOOL ALLAH mehman nawazi kitni laazim hai???
to NABI PAAK ne jawab me irshad farmaya,,,,
Mehman ki khidmat EK DIN or EK RAAT(24 ghante) tak LAAZIM(zaroori) hai.....
fir farmaya.....
Jo koi ALLAH par or QAYAMAT ke din par EIMAN rakhta hai use chahiye(yani uske liye zaruri hai) ke apne MEHMAN ki KHIDMAT kare.
> bukhari shareef
4, hum be baso ki AAS, ALLAH ke MEHBOOB-e- KHAAS sallal laahu alaihi wa sallam ne irshad farmaya.
jisne mehman ki izzat na ki wo mujhse nahi(yani wo apne NABI ka sacha chahne wala nahi)
Or fir farmaya...
jisne MEHMAN ki izzat ki wo mere sath(yani HUZOOR KE SATH) JANNAT ME HOGA. subhan allah
> durratun naasiheen
5, HUZOOR alaihis salam ne farmaya ke.......
Jis ghar me MEHMAN ho us ghar me ALLAH ki KHAIR o BARKAT itni tezi se daodi chali ati hai.....
jitni tezz ount(camel) ke KOHAN(peeth) par CHHADI daodti hai. Balke USSE BHI TEZZ.
(yani ount ki peeth par jo utha huwa hissa hota hai us par koi chiz tik nahi sakti phisal kar gir jati hai.
to ount ki peeth par se jitni speed chhadi(lakdi) phisal kar gir jaegi utni speed mehmen wale ghar me allah ki rehmate ati hai). Subhan allah
>ibne maaja
6, humare AAQA ne farmaya ke.......
MEHMAN ko darwaze tak chhodne jaana SUNNAT hai.
> ibne maaja
*Humare nabi ne jaha mehmano ko itni izzat dene ki baat ki hai wahin mehmano ko kuch hidayat bhi farmai hai dekhye wo kya hai....
7, AAQA jaan-E-rehmat ne irshad farmaya ke.....
mehman ke liye jaiz nahi ke wo mezban ke yaha itne din ruke ke mezban MASHAQQAT(takleef) me pad jae.
> mishkat shareef
*Ab last 2 hadeese pesh kar raha hu jo har eiman wale ke liye dil khush kar dene wali sabit hogi insha allah.
8, NABI PAAK ne farmaya ke.....
Mehman apna RIZQ le kar aata hai....
Or jab wapas jaata hai to mezban ke GUNAAH MITA kar jaata hai. subhan allah
> behaarul anwaar
*Youn to mehman ko hum apni istita'at me mutabiq khana wagera khilate hai.
Lekin agar allah ne istita'at ata farmai ho to hum mehman ko uski pasand ka khana khilae....
isliye k jab aap iski fazilat hadees me padhenge to machal jaenge.
Hadees mulahiza ho....
9, kainaat ke REHBAR MUHAMMAD rasool-e-AKBAR irshad farmate hai ke........
Jo shakhs apne bhai(MEHMAN) ko wo CHIZ khilae jo WO CHAHTA HO to.....
ALLAH rabbul izzat uske naamae aamaal me 10 lakh NEKIYA LIKH DETA HAI.
Or....
Uske 10 lakh NUNAH MITA DETA HAI.
Or....
Uske 10 lakh (jannati)DARJE BULAND FARMA DETA HAI.
Or....
(aakirat me) use 3 jannato se jinka naam hai....
jannatul FIRDAOS
jannatul ADN
jannatul KHULD... In tino jannato se khana khilaega.
> ihyaul uloom
Yad kijye sahaba ke zamane ko jab kisi ko apna mehman banane ke liye log taraste the. Or aehsas kijye ke hum ghar ae mehman se kaise pesh aate hai?
Puchhye apne aap se kya hum apne nabi or unke sahaba ke tareeke par hai???
Allah mujhe or aapko apne nabi ki ita'at karne wala banae. Aameen
Talib-e-Dua: Imtesal Rrazvi Shafaee.
No comments:
Post a Comment