Sunday, 11 February 2018

SABSE AFZAL/BEHTAR

1) Hadees sabse acha musalman - humare nabi ne farmaya........
Sabse afzal/acha/behtar musalman wo hai jiske ZABAN or HAATH se dusre musalman mehfooz rahe.
(bukhari sharif jild no,1 kitabul eiman)

2) Hadees - SALAAM me pahel karne wala(yani dusre se pehle khud salaam karne wala) shakhs (dusre logo se)  AFZAL hai.
(abu daud sharif safa no,706)

Taalib-E dua: imtesal razvi shafaee

BUZURGO KI BAATE

hazrat WAHEEB bin WARAD se puchha gaya.....
Kya ALLAH ki NA-FARMANI karne wala banda ibadat ki lazzat pa sakta???

Unhone irshad farmaya......
NAHI !  balke jo jo shakhs GUNAH ka pakka IRADA kar leta hai wo bhi ibadat ki lazzat se mehroom ho jaata h.
(صفةالصفوه جلد ١ الجزالثانى صفحه ١٤٩)

BETI REHMAT HAI

1) Hadees - jab kisi ghar me ladki paida hoti hai to ALLAH KAREEM apne firoshto ko bhejta hai jo us ghar par aa kar kehte hai AS'SALAMU ALAIKUM aeGHAR WALO......

Phir FIRISHTE us bachi par apne paro ka saaya karte hai or uske sar par apna haath pherte hai......

Or phir us ghar walo se kehte hai ye ek kamzor jaan hai jo ek kamzor jaan se paida huwi hai(yani ladkiya nazuk hai jo apni maa se paida hoti h or maa bhi ladki hoti h is liye wo bhi nazuk hoti)
Lihaza jo shakhs is kamzor jaan ki parwarish ki zimmedari lega QAYAMAT tak ALLAH ki rehmat us shakhs ke sath rahegi. Majmoo-uz zawaid jild no,8 hadees no,13484)