URS-e-AOLYA k bare me badmazhab log ek sawal hamesha kiya karte h.
KYA NABI PAAK ﷺ NE KABHI URS MANAYA???
Answer by maolana Imtesal Razvi Shafaee.
Ans: Urs yani bahot badi khushi ka din, ise urs is liye kehte h k is din WALI ALLAH ki wafat huwi or unhe qabar me Nabi-e-Paak ﷺ ki ziyarat huwi to ek aashiq k liye Nabi-e-Paak ﷺ k deedar se badh kar khushi koi nahi hoti is liye ise URS kehte h.
Ab dekhe k urs me kya kiya jata h to yaqeen rakhye URS ME JO BHI KIYA JATA H WO SAB NABI ﷺ SE OR SAHABA SE SAABIT HAI. Ab mulahiza ho k kya kiya jata h or uska sabot kya h.
1st. jis ka urs h us wali ki qabr pe jaate h. To ye qabr(mazar) par jaana hadees se saabit h.
Nabi-e-Paak ﷺ har saal jange uhad k shaheedo KI QABR PAR JAYA KARTE THE.
(haashiya ibne aabideen. Jild 2. Page 242)2nd. fir us Wali ki qabar par kapde ki chaadar chadai jati h. Ye b hadees se saabit h.
Hazrat ibne Abbas se riwayat h ke khud Nabi-e-Paak ﷺ ki qabar mubarak par red color ki kapde ki CHADAR THI JISE SAHABA NE CHADAYA THA.
(Muslim shareef hadees no, 2136)
3rd. fir us kapde ki chadar ke oupar phool daale jate h. Ye bhi Nabi-e-Paak ﷺ se saabit.
Nabi-e-Paak ﷺ ne farmaya phool patte qabar par dala karo qk ye phool jab tak qabar par hare bhare rahenge allah ka zikr karenge or inke zikr ki barkat qabar waale ko bhi milegi.
(Bukhari shareef. Hadees no, 218)4th. naat khwani padhi jaati h. Ye bhi hadees se sabit.
Hazrat Hassaan bin Saabit ne farmaya maine Nabi-e-Paak ﷺ ki shaan me naat padhi jise sun kar huzoor khush huwe or khush kar Nabi-e-Paak ﷺ ne duwa di ke.....
Ya Allah tu in naat k ash'aro ko qabol farma or padhne wale ki jibrail alaihissalam ke zarye madad farma.
(Sunan nisai, hadees no, 719)5th. fir Sur-e-Fateha aur Sur-e-Ikhlas padha jata h. Ye bhi hadees se saabit.
Riwayat me aya ANSARI SAHABIYO ka tareeqa tha ke jab unme se koi sahabi intiqal kar jata to ansari sahaba bar bar unki qabar par ja kar QURAN PADHTE.
(Sharhus sudoor. Page no 130)6th. fir aakhir me ye sab nek amal ka sawab us WALI ALLAH ko bakhsh dete h ye bhi hadees se saabit h,
Nabi-e-Paak ﷺ ne farmaya jab tum qabar par jao to quran padho or uska sawab qabar wale ko bakhsho.
(Sharhus sudoor, page no, 130)
To saabit huwa k URS MANANA HADEES SE WAZEH TAOR PAR SAABIT HAI.
Ab ye ke iske siwa jo hota h musical qawwali, Nachna, Gaana, Jhule lagana, aaorto ka waha ana, Dhol baaje bajana inhe SUNNIYAT KA KOI AALIM JAIZ NAHI KEHTA YE KAM "HARAM" THE HARAM HAI OR HARAM RAHENGE.
LEKIN JO ASAL URS OR USME HONE WALI CHIZE HAI YE SAB NABI-E-PAAK ﷺ SE OR SAHABA SE SAABIT HAI
Taalib-E-Dua: Maolna IMTESAL Razvi Shafaee